Amir Beg ki tasneef sookha gulab se Iqtibas

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113

Raah pe pare daal se tutte huwe phool ki manind lagti hai zindagi. Daal se judaa karne wala pata nai konse raaston pe mujhe yoon bhatka k nikal gaya. Ab hawa hi mera zariyaa ae safar hai. Ek hawa ka jhonka mujhe kuch door le jata hai. Phir ek doosra jhonka wapis waheen pohancha jata hai jahan se safar ka ibtida kiya tha.Hawaa ka safar karte karte thak gaya hun.. Aur najane ek din ek zor daar jhoonka mujhe kahan le jayega mein nahin janta.

Har raah guzar ki nazar mujh pe rukti hai aur woh mujhe uthata zarror hai.. magar agle hi pal samne dal pe lage huwe us doosre phool ki taazgi aur aur khushboo meri bad nassebi ka saman banti hai.. aur phir mujhe ussi raah pe gira k woh raah guzar chal deta hai..

Mein janta hun mujh mein woh taazgi aur khushboo nahi rahi... isi raah pe ek din para para murjha jaounga...aur sukh k teenka teenka ho jaunga...

Sookha gulab...............by Amir Beg

 
Top