beauty with vegatables

  • Work-from-home
Dec 11, 2008
932
510
0
dammam
Kheera(Cucumber)


Kheeray ka rus(juice) ya katlay(slices) ankhon per rakhne se ankhain tar-o-taza(fresh) mehsos hoti hain, shayad yeh apko pata bhi ho, lekin kya apko pata hay k kheera aik cleanser bhi hay jo jild ko naram(soft) kerta hay usay tar-o-taza banata hay.

Is k liye kheeray ko pees ker us mein thora milk mila ker paste bana lain aur chahre per mask ki tarah laga lain aur sokhne dain, jab sookh jaye tau thanday pani se chahra saaf keren,
app pehli hi bar mein is ka wazeha fark mehsos karain gay .

*oily skin k liye kheeray k katlay kaat lainn aur un katloon ko chahre per neechay se uper ki janib ahista ahista rub karain, is se jild ka izafi(excess) tail khatam hota hay, yeh skin ka excess oil khatam kerne k liye behtreen cleanser hay


Aloo(Potato)


Aaloo gher mai dekha hoga, khaya bhi hoga, lekin kya ap sab jante hain k aalo jild se daagh dhaboon ka safaya kerta hay?...Kache aloo ko kuchal ker un ka Arq nikaal lain phir chehre per lagain.
Jild ki cleansing k liye bhi is k katlay istamal kiye jate hen.
Is ka regular istimal jild ko stiff rakhta hay.
Ankhon ki swelling bhi khatam karta hay.

*ankhon k liye katlon ki soorat mein ya kuchal ker unhe malmal mai potli ki tarah bandh ker bhi istamal kia ja sakta hay



Papeeta (Papaya)


papaya mein paye jane wale enzymes jild ko naram o mulaaim rakhte hain aur jild se dead particles ko saaf kerte hain.
Papeetay k goday mai sookha doodh(milk) ya jo(barley) ka ata mila ker face mask ki tarah lagane se rangat nikharti hay, yeh azmooda mashwara hay is per amal kerk bataye ga



Narangi (Orange)


Narangi k chilkon ko dhoop mai sukha ker powder bana lain aur kisi Jar mai mehfooz ker lain. Required amount powder ki lay kar is mein milk shamil karain aur thick paste ki soorat chehray, neck, hath aur paaon per ubtan ki tarah lagayen, khushk honay per mal ker utaar lain aur saaf pani se yeh hisay dho lain.
Rangat nikharne aur jild ko narm karne k liye yeh ubtan behtreen hay.



Gajar(Carrot)


Hasaas aur nazuk skin k liye Gajar ka istimaal intihaye mufeed saabit hota hay

*gajar kaat ker pani mein boil karain phir in ka achi tarah paste bana len is paste ko mask ki tarah chehre per lagayen.
Rozana aik gajar ka juice aik glass milk mein mila kar pene se bhi rang saaf hota hay aur nikharta hay, yeh azmaya howa hay​
 
Top