assalam o alaikum doston
main arshad kaafi dinaon baad firse aapki khidmat me ek naye thrd k saath haazir e khidmat hon.waise naam se hi pata chal gaya hoga.laikin main yahan saath hi saath is laanat se kaise chutkaara paaya jaaye uski chund shaklen bhi bayan karunga.
cigarette naushi turk karne par jo pareshanian aapko pesh aayengi usse kis tarha nimta jaaye.
pareshanian : cigarette naushi ki chahat aur uski yaad.
solution : mufeed aur pasandeeda cheezaon ki aadat daaliye.fruits ka istemal karte rahiye.
pareshanian :mizaaj tabdeel hone ka ehsaas.
solution :gahri saans lia karen.
pareshanian :susti aur thakaan ka ehsaas.
solution :neend keliye munasib waqt dijiye.
pareshanian :mu aur halaq ki khushki ka ehsaas.
solution :ziada meqdaar me paani aur juice ka istemal kijiye.
pareshanian :sur chakrane ka ehsaas.
solution :fresh air me chahalqadmi kijiye.
pareshanian : bhook ka ehsaas.
solution :chewing gum ka istemal karen.
pareshanian :hazame ki shikayat.
solution :fruits ka istemal kasrat se karen.
isi tarha aur bhi dosri mushkilat ka samna karna padh sakta hai.laikin saath hi uska hul bhi maujood hai.lehaza hame is khatarnak aadat se chutkaara hasil karna chahiye.
ab aayie cigarette naushi turk karne par hone wale fawayed par nazar daalte hain.
1 . aakhri cigarette naushi k 2o min.k baad.
qoone(blood circulation) ka dauraan normal hojata hai.
dil ki dhadkan normal hojati hai.
2 . 8 hours k baad (after 8 hours).
qatarnaak corbondioxide ka blood se kum(less) hona shru hojata hai.
blood me aam taur par oxygen ki meqdaar ziada hojati hai.
3 . after 48 hours.
saare aasaab nicotene ko qatam karna shru kardete hain.
hazame ki salahiat me bahetri aajati hai.
4 . after frm one week to 3 weeks.
blood circulation baheter hojata hai.
runnig karte waqt thakaan ka ehsaas nahi hota.
20% se ziada lungs work karna shru kardete hain.
5 . ek mahine k baad se 9 months tak.
khaansi aur thakaan ka ehsaas qatam hojata hai.
jism ki quwwat ziada hojati hai.
lungs se siah maadda(black colour) ghayeb hona shru hojata hai.
6 . after one yr
dil ki bimariaon ke sabab wafat ka ehtemaal qatam hojata hai.
cancer ka qatra kum hojata hai.
to ye rahe fawayed to cigarette naushi turk karne par hame milte hain.to doston hum aaj hi ye tahiyya karen k hum is laanat se chutkaara haasil karne ki bharpoor koshish karenge.