Dil-e-naadan tujhey huwa keya hai

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Dil-e-naadan tujhey huwa keya hai
aakhir iss marz ki dawa keya hai


hum hain mushtaaq or wo bezaar
ya Ilaahi ye maajra keya hai


jab k tujh bin nahi koi mojud
phir ye hangaama ae Khuda keya hai


jaan tum par nisaar karta hun
main nahi jaanta duaa keya hai


hum un se kar bethe hain wafa ki umeed
jo nahi jaante wafa keya hai

Mirza Ghalib
 
Top