Event Eid Milad Un Nabi Jashn Biddar Aur Najaiyz Hai

  • Work-from-home

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Assalaamu alaikum TM doston aaj humara mauzu hai Eid milad un nabi alaehe salam
ka jashn biddat hai ji bilkul ab kuch lougon ko bolna hai ke biddat to sub hi maante hain
lekin ye baat ghalat hai dar asal jo loug ise biddat maan to lete hain magar phir bhi bolte hain
jashn e milad ka hukm Quran me ahadeeth me hai aur Qurani ayaah o ahadeeth ko ghuma
phira ke peish kar dete hain mein is ghalat fehmi ko door karne ke liye arz kar dun ke agar
iska hukm Quran me hota to ALLAH ke Nabi alaehe salam ispe subse pehle amal pera hote
aur unke baad Sahaba e rasool alaehe salam manaate magar unhone is per amal karke
nahin dikhaya so iska matlab ke Quran o ahadeeth me iska hukm nahin aur ye naiy aejaad hi hai
aur ISLAM me naiy aejaad ki kya haisiyat hai ye bhi jaaniye
اور صحيح حديث ميں رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم كا فرمان ہے:
" جس كسى نے بھى كوئى ايسا عمل كيا جس پر ہمارا حكم نہيں ہے تو وہ مردود ہے "
اسے امام مسلم نے صحيح مسلم ميں روايت كيا ہے.
Sub ghour karen ke ALLAH ke Nabi alaehe salam ne farmaya
koi bhi aisa amal jis per humara hukm nahin use karne
wala mardood hai kya Eid milad un nabi alaehe salam
ka hukm aap ne diya tha ??
baaz loug is hadeeth per bolte hain gaari me bethna
jahaz urana ye sub bhi to RASOOLALLAH sallallaho alaehe wassallam ke ehkam me se nahin
to ye baat yaad rakhen aur pata bhi hai ke ye to jahilana
sawal hi ho gaya kyunke wo hukm ISLAM me kuch naya
karne ke mutaliq hai dunyavi aemaal ke mutabiq nahin
aur mazeed
" سب سے بہتر بات اللہ كى كتاب ہے، اور سب سے بہتر راہنمائى محمد صلى اللہ عليہ وسلم كى ہے، اور سب سے برے امور بدعات ہيں اور ہر بدعت گمراہى ہے " ترمذي
is hadeeth se malum hota hai ke koi bhi biddat hasna nahin
kyunke ALLAH ke Nabi alaehe salam ne farmaya
" har biddat gumrahi hai "
so kisi biddat ke sahi hone ka sawal hi nahin uthta
aur phir aap subko bata dun ke Eid miladun nabi alaehe salam
ki ibtida un rafzion ne ki jo khud ko sajda karwate the
aur unhen hanafi maliki shafaiy aur ghair muqallid ne
ghair ISLAM aur majoosiyat ka fatwa diya tha aur kisi
doosre qoum ki mushabihat ikhtiyar karna kesa hai dekhen
عبد اللہ بن عمر رضى اللہ تعالى عنہما بيان كرتے ہيں كہ نبى كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:
" جس كسى نے بھى كسى قوم كى مشابہت كى تو وہ انہى ميں سے ہے "
سنن ابو داود حديث نمبر ( 3512 )
phir aapko batata chalun ke MUSALMAANON me se sirf aur sirf
eik tabqa Eid milad un nabi ko jashn manate aur ise sahi samajhte hain
wagarna unke ilaawa baaqi MUSALMAAN is din jashn nahin manate
hatta ke ehl e ahnaaf maliki aur ghair muqallid subhi is din jashn ke
khilaaf hi hain bas kuch loug hain jo is din kam ilmi ke baais
aur baaqi kuch jaan boojh kar kamaiy ke chakkar me is din jashn manate hain
jabke Quran o ahadeeth me aaya hai
mandirja baala Qurani ayaah aur ahadeeth se saaf pata chalta hai ke
humare liye utna karna hi ISLAM hai jitna aap sallallaho alaehe wassallam
ne kiya aur jo aap alaehe salam apne Sahaba radiallah anho ko sikha gaye
yehi tareeqa e islam hai yehi tareeqa hai mohib e Rasool alaehe salam hone ka
baaqi agar koi ye samjhe ke eid milad ka jashn khushi jatane ka tareeqa hai
to MUSALMAAN khushi ALLAH ke shukr se jatate hain nafali ibadaat se
ALLAH ka zikr karte hain aur jese ke Sahih Muslim me aaya hai ke
Aap sallallaho alaehe wassallam har peer ke din rouza rakhte aur farmate
ke is din meri wiladat huwi aur is hi din mujh per pehli wahi nazil huwi
so isse saabit huwa ke RASOOLALLAH sallallaho alaehe wassallam ke milad ki
khushi me shukrana rouza kisi bhi peer ko rakh sakte hain iske liye saal ke eik din
ko thaame rakhna qat'an durust nahin balke har peer ke din ke rouze ke hadeeth
ki khilaf warzi hai
aur khaaskar is baat ka khayal rakhen ke aapke jashn ko dekh kar koi hindu ya koi
eesaiy aap se keh sakta hai ke humen chrissmass aur ram ke janamdin ke jashn
ka hukm nahin per hum karte hain is hi tarah tumhen rabiulawwal ke jashn ka hukm
nahin per tum karte ho faraq batla sakte ho phir aap use ??
ALLAH hum subko hidayat e haq naseeb kare Aameen
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
...@Shizuka @zoonia @kool~nomi @faari @whiteros @Dawn @hoorain @RedRose64 @Don @Star24[DOUBLEPOST=1359318923][/DOUBLEPOST]...@saviou @Fahadd @SHAZIE @*SHB* @Atif-adi @Mahen @ShyPrincess @FallenAngeL @sabha_khan40 @Sabah[DOUBLEPOST=1359319004][/DOUBLEPOST]....@Rubi @Nelly @Ally @ChoCo @masoom_se_chahat @Innocent Cat @Naughty Cat @yoursks @Tariq Saeed @Khwahish[DOUBLEPOST=1359319100][/DOUBLEPOST]...@Tooba Khan @i love sahabah @nasirnoman @Mughal1 @Wasif Safi @saaaamshrrrrri @neevrap @Sparkofighter @Abidi @Iceage-TM[DOUBLEPOST=1359319187][/DOUBLEPOST]...@H!N@ @Fa!th @Bela @~Bella~ @sweet_c_kuri @lotr
 
  • Like
Reactions: lovelyalltime

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Assalaamu alaikum TM doston aaj humara mauzu hai Eid milad un nabi alaehe salam
ka jashn biddat hai ji bilkul ab kuch lougon ko bolna hai ke biddat to sub hi maante hain
lekin ye baat ghalat hai dar asal jo loug ise biddat maan to lete hain magar phir bhi bolte hain
jashn e milad ka hukm Quran me ahadeeth me hai aur Qurani ayaah o ahadeeth ko ghuma
phira ke peish kar dete hain mein is ghalat fehmi ko door karne ke liye arz kar dun ke agar
iska hukm Quran me hota to ALLAH ke Nabi alaehe salam ispe subse pehle amal pera hote
aur unke baad Sahaba e rasool alaehe salam manaate magar unhone is per amal karke
nahin dikhaya so iska matlab ke Quran o ahadeeth me iska hukm nahin aur ye naiy aejaad hi hai
aur ISLAM me naiy aejaad ki kya haisiyat hai ye bhi jaaniye
اور صحيح حديث ميں رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم كا فرمان ہے:
" جس كسى نے بھى كوئى ايسا عمل كيا جس پر ہمارا حكم نہيں ہے تو وہ مردود ہے "
اسے امام مسلم نے صحيح مسلم ميں روايت كيا ہے.
Sub ghour karen ke ALLAH ke Nabi alaehe salam ne farmaya
koi bhi aisa amal jis per humara hukm nahin use karne
wala mardood hai kya Eid milad un nabi alaehe salam
ka hukm aap ne diya tha ??
baaz loug is hadeeth per bolte hain gaari me bethna
jahaz urana ye sub bhi to RASOOLALLAH sallallaho alaehe wassallam ke ehkam me se nahin
to ye baat yaad rakhen aur pata bhi hai ke ye to jahilana
sawal hi ho gaya kyunke wo hukm ISLAM me kuch naya
karne ke mutaliq hai dunyavi aemaal ke mutabiq nahin
aur mazeed
" سب سے بہتر بات اللہ كى كتاب ہے، اور سب سے بہتر راہنمائى محمد صلى اللہ عليہ وسلم كى ہے، اور سب سے برے امور بدعات ہيں اور ہر بدعت گمراہى ہے " ترمذي
is hadeeth se malum hota hai ke koi bhi biddat hasna nahin
kyunke ALLAH ke Nabi alaehe salam ne farmaya
" har biddat gumrahi hai "
so kisi biddat ke sahi hone ka sawal hi nahin uthta
aur phir aap subko bata dun ke Eid miladun nabi alaehe salam
ki ibtida un rafzion ne ki jo khud ko sajda karwate the
aur unhen hanafi maliki shafaiy aur ghair muqallid ne
ghair ISLAM aur majoosiyat ka fatwa diya tha aur kisi
doosre qoum ki mushabihat ikhtiyar karna kesa hai dekhen
عبد اللہ بن عمر رضى اللہ تعالى عنہما بيان كرتے ہيں كہ نبى كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:
" جس كسى نے بھى كسى قوم كى مشابہت كى تو وہ انہى ميں سے ہے "
سنن ابو داود حديث نمبر ( 3512 )
phir aapko batata chalun ke MUSALMAANON me se sirf aur sirf
eik tabqa Eid milad un nabi ko jashn manate aur ise sahi samajhte hain
wagarna unke ilaawa baaqi MUSALMAAN is din jashn nahin manate
hatta ke ehl e ahnaaf maliki aur ghair muqallid subhi is din jashn ke
khilaaf hi hain bas kuch loug hain jo is din kam ilmi ke baais
aur baaqi kuch jaan boojh kar kamaiy ke chakkar me is din jashn manate hain
jabke Quran o ahadeeth me aaya hai
mandirja baala Qurani ayaah aur ahadeeth se saaf pata chalta hai ke
humare liye utna karna hi ISLAM hai jitna aap sallallaho alaehe wassallam
ne kiya aur jo aap alaehe salam apne Sahaba radiallah anho ko sikha gaye
yehi tareeqa e islam hai yehi tareeqa hai mohib e Rasool alaehe salam hone ka
baaqi agar koi ye samjhe ke eid milad ka jashn khushi jatane ka tareeqa hai
to MUSALMAAN khushi ALLAH ke shukr se jatate hain nafali ibadaat se
ALLAH ka zikr karte hain aur jese ke Sahih Muslim me aaya hai ke
Aap sallallaho alaehe wassallam har peer ke din rouza rakhte aur farmate
ke is din meri wiladat huwi aur is hi din mujh per pehli wahi nazil huwi
so isse saabit huwa ke RASOOLALLAH sallallaho alaehe wassallam ke milad ki
khushi me shukrana rouza kisi bhi peer ko rakh sakte hain iske liye saal ke eik din
ko thaame rakhna qat'an durust nahin balke har peer ke din ke rouze ke hadeeth
ki khilaf warzi hai
aur khaaskar is baat ka khayal rakhen ke aapke jashn ko dekh kar koi hindu ya koi
eesaiy aap se keh sakta hai ke humen chrissmass aur ram ke janamdin ke jashn
ka hukm nahin per hum karte hain is hi tarah tumhen rabiulawwal ke jashn ka hukm
nahin per tum karte ho faraq batla sakte ho phir aap use ??
ALLAH hum subko hidayat e haq naseeb kare Aameen
jazakAllah kher boht hi umda sharing or boht hi asaan lafzon main samjhaya hai thankss for sharing
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top