Abhi to raat baqi hai ,ye dhal jae to so jana
Ghari bhar ko dil-e-nadaan sambhal jae to so jana
Yeh jalte hont aur yeh neend main doobi hui ankhein
Mujhe sone nahi detein tumhari adh khuli ankhein
Zara thehro mujhe b neend a jae to so jana
Haseen ho tum tumhain kya gham tumhain to neend pyari hai
Hamara haal mat pocho k hum par raat bhari hai
Hamare sar qayamat hai ye tal jaye to so jana