Ghazal
kiun uljha howa hath ke lakeer main hai
kon janay, likha kia teri taqdeer main hai
hosan ke adalat main, wafa ke gawahi hai
ishq hai mujrim, jukra howa zanjeer main hai
aaj hairan howa osay daikh kar naye roop main
kuch to wafa ke khoo bhe os shareer main hai
gharonday rait k banta hai, toor daita hai
takreeb ka pahloo bhe chupa tameer main hai
khud os ke marzi hai, baitha hai qafas main verna
her deewar tornay ka hosla teray aseer main hai
ameer-e-shahar say kah do, ham sar ba kafan hain
daikhna hai k dam kitna teri shamsheer main hai
tum to likha kartay thay lab-o-rukhsar ke batain
aaj talkhi kiun itni Naeem teri tahreer main hai