Hai Naya Raasta..

  • Work-from-home

khansundeep

Newbie
Dec 27, 2008
1
2
0
Ghotki.
Hai naya Raasta Manzil nayi,
Kuch suni sunaayi kuch ankahi,

Na thehrne ka pata na khabar koch karne ki,
Tera Zikar hai jahan,apna thikana hai wahin,

Manzil ko paanay ka teh karlia hai,
Dil na Jaanay kia Galat kia Sahi,

Shayad palak Jhapaktay paa loon manzil ko,
Shayad lag jaayen sadiyan kayi,

Dagar mein pichay pare hain zaroor,
Phool nahin to kaantay sahi,

Tera to ae,"Sundeep",khuda hi rehbar hai,
Dushman hain laakh safar mein doston ka pata nahin..
 
Top