Help Help regarding my political sociology paper

  • Work-from-home

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
as salam u alikum frnds
all u know k me k papers hain tu app main se plzzzzzzzz jo b me ki help kerdien ga Allah hi os ka bala kerin ga main khuch nahi ker sakty (lolzzz)

anyway me k khuch sawal hain jo mere syllabus main nahi mill rehin ,,,app muj ko bas in k points de dein main in main khudi detail lik lo gi
specially boys ko extra knowledge hota hain may be they can tell me better hope so

q1 (how political communication effects the society )?

q2 (why political communication significant foe social development)?

q3 (what is comunication link with political sociology)?

q4 (media role in pakistan )?

app english main b bta sakty hain or urdu main bta dein tu ziyada better hain me urdu main dein rahi hoon exams :S

jo b points ek yah do b aty hoo lik dein
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
Mahi agar exam urdu main hai tou question kyun English main hain????:p
anyways, net se b acchi khasi help mil jaye gi is baare main, but i wil also try k kuch points bata sakoon:s

kab tak hai aapka exam wese???
 
-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
Urdu main is lia lik dia k ab main online urdu main type kerty half hour waste hota or mujse uljan alag :s
 
-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
ok app sab k pass one week hain ({kopping)} give me points plzzzzzzzzzzzzzzzz
 
-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
dear frnds net se tu main in topics ko khudh b dhoond sakty hoon mager app sab k zehan main points kya aty hain in q's k mujse woh chaiye
 
  • Like
Reactions: ShahzadFaiz

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikum assalaam

kya apne taraf se achhe khaase point add
karne hain na so isme koi bari baat nahin Mahi sis

aap sirf sawalaat roman ya urdu mein chhaape
mein insha'ALLAH aap ko jawabaat de doonga:)
 
  • Like
Reactions: ShahzadFaiz

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
Wa'alaikum assalaam

kya apne taraf se achhe khaase point add
karne hain na so isme koi bari baat nahin Mahi sis

aap sirf sawalaat roman ya urdu mein chhaape
mein insha'ALLAH aap ko jawabaat de doonga:)
jee s-c bro u sab k apne points main kal tak urdu main paste ker doon gi kindly help me
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH

farhan memon

TM Star
Aug 18, 2011
2,121
377
233
41
Karachi
SALAM
how political communication affects the society ?
Kuch Aversion , kuch kam Aqaal hona , kuch Jasbaati pan eh aesi cheezy hain jis ki waja sy Political communication Affect kerta hain Society per
Gussa : ager kisi ki shaqs ko kisi party waly ny nahaaq kill kerdia to us k area ki party us k pichy us k jawaan khass teen ageka ho bhai ya betty ko us ko bherkaty hain k falah party ny kia hai to badla ly werna eh tery ko bhi maar daygay
kam Aqal or joshila , Jasbati : teenage ki starting my bara josh hota hai my to u my to aesa or group my dosti yaari hoti hai ehi faida party waly uthaty hain or taiz dimaag lerko aesy groups my dosti ka bolty hain or is woh new new lerky party join kerlety hain phir kia un ko acha acha sub dikhaya jata hai boly to MIND WASH kerdia jata hai

tab eh lerky party k wafadaar banty hain phir in ko party k name sy kuch nahee in ko inka leader sub kuch hai woh siruf MO per party ki baat kerty hain lakeen manty siruf LEADER ko hai unko party k motive sy kuch nahee un ko leader ny boldia k eh kerna hai to bas kerdikhana hai
aik waja eh bhi hoti hai k husyari dikhana k party join kerlo mera logo per bharaam paryga my pawer full hojaon ga my to SANJO BABA ban jaonga jo in ko laydoobta hai
phir jub hum aesy lerko daikhty hain to SOCITY kharaab nazer ati hai

why political communication significant foe social development
Jub party banti hai to woh khoob paysa invect kerti hai party ko chalany or Awaam ko apny haath my rakhny k lee jub GOV my ati hai to us ko woh paisa with profit wasool bhi to kerna haina to woh Social Development k zare wasool kerti hai q k awaam ka first cheez jo chaee woh hai develpoment chaee k humary city ya village k road achy hojay park ban jay electric city ajay eh hojay woh jayor phir eh kaam sub ko nazer bhi ata hai DUNIA ko dikhta hai is party ny kesa divelope kia city village ko or party ka naam rosahn hota hai

what is communication link with political sociology
eh q mery ko samjh nahee aya :-(

media role in pakistan
media ka role dekha jay PAKISTAN my to Acha bhi hai or bura bhi hai acha is lee khaonga k bhout sy msaayl eh log awaam k samny ujager kerty hain bura is lee k bichari huqumat ko kuch kerny bhi nahee detty or zara zara si baat ko khoob ruber boll ki thara uchalty hain kai baar note kia Huqumat ny kuc acha kerny ka prograam start ki to or media ko samjh nahee aya ya un ko kamai kerny ka rasta dikha to us ko itna uchala k baas k huqumat ny wo kam ya to band kerdia ya chiir kha ker rokdia k chalo ab rhao aesy hi
aap log khood daikhlay k Meda ny kis ki Huqumat ko acha kha khabhi koi aesi news suni k huqumat ny eh kaam bhout acha kia woh faisla bhout acha kia nahee kahbi meny to nahee sunna khabhi .

  • Like
Reactions: Don and hoorain

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
سیاسی رویے کے عناصر....1
سیاسی مواصلات معاشرے پر کیسے اثراناز ہوتے ہیں.....2
سیاسی مواصلات معاشرتی ترقی کے لیے کیوں اھم ہے....3
نظریہ مواصلات کا پولیٹیکل سوشالوجی سے کیا تعلق ھے...4
پاکستان میڈیا کا کردار...5

dear frnds main khudh b google se search ker sakyty hoo mujse koi link nahi chaiye app sab k mind main jo points hain is se related wo de plzzzzzzzz

hank you so mushhhhhhhhhhhhhhhhh realy realy bohat sara thankoo
 
Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
سیاسی رویے کے عناصر....1
سیاسی مواصلات معاشرے پر کیسے اثراناز ہوتے ہیں.....2
سیاسی مواصلات معاشرتی ترقی کے لیے کیوں اھم ہے....3
نظریہ مواصلات کا پولیٹیکل سوشالوجی سے کیا تعلق ھے...4
پاکستان میڈیا کا کردار...5

Hmmmmmm

mein insha'ALLAH raat ko inke batour e jawabaat
apne soch o nazariye ke mutaabiq jawabaat shamil karunga

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
Humare forum main koi educated hain hi nahi lagta hain main hi srif m.a ker rahi hoon:mad:
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Mahi here u go, last wala point mujhe easy laga is liye mene us pe thora sa likha hai
baqi k options pe b baad main bata doongi:p

is ko tum apne words main aur more better kar k likhna, koshish karo k examples do har point k liye:) is se ziyada accha sound kare ga:)

MEDIA ka role Pakistan main bohat ehem hai, hukoomat ke liye bhi aur awaam k liye bhi. aaj kal TV, Radio, Akhbaar aur bohat
zaraye se media awaam ko pakistan ke mukhtalif halaat se ba khabar rakhta hai, chahe koi hadsa ho, hukoomat ka koi naya
hathkanda, siyasatdaano ke asli chehre, fashion, crimes vaghaira, gharz ye ke aaj kal Pakistani media ne kaafi taraqqi kar li hai jis se awaam ko
har lamha aur har baat se ba khabar rakha jaata hai.
MEDIA ka role ek aur tarah se bhi bohat ehem hai ke ye awaam ke masayel ko hukoomat aur baqi sab ke saamne bhi pesh karte hain
jis se bohat dafa logon ko un ke hukook aur madad bhi milti hai. logon ko tv, akhbaar aur radio ke zariye bolne ka mauqa
diya jaata hai, un ke apne khayalaat aur alfaaz doosron tak pohchaye jaate hain jis se baqion tak sacchayi k raaste khulte hain.
news channel jese ary news vaghaira pe hone wale talk shows, debate, aur sar-e-aam jese public shows se logon ko apne mulk
aur government ke baare main bohat kuch seekhne ko milta hai, sahi aur ghalat ka patah chalta hai.....
mulk ke sangeen halaat main bhi media ka role bohat ehem raha hai, jahan awaam pe drone hamlon aur mulk ke mukhtalif hisson
main hone wali deshat gardi ka khauf aur afsurdagi hoti hai, wahin entertainment channels ke zariye nashar kiye jaane wale
music, morning , live shows aur dramas ke zariye logon ka ye darr kaafi had tak kum kiya jaata hai, aur yehi wajah hai ke
pakistan main aane wali itni haadsat aur museebton ke baqjood bhi log ab tak ba hawaas aur hausla mand hain.
pakistan pe jab bhi koi qudrati afaat guzri ho tou media ke through hi saare pakistan ke awaam ko har second se ba khabar rakha
jaata hai, media ke through hi poori awaam ikatthe ho ke apne mutassir bhayyion ki har mumkin madad karte hain.

ye kuch points mene net se liye hain, inhain iclude kar lena ya in pe khud se thora explain kar dena:
Good Governance Defined
Essentials Of Good Governance
• Equal Participation
• Promotion Of National Cohesion(unity)
• National Integration
• Institution Supremacy
• Independent Judiciary
• Constitutional Supremacy
• Rule Of Law
• Political Stability
• Free Media
• Equal Educational Opportunities
• Socio-economic Development
• Equal Distribution Of Resources
• Welfare State With Provision Of Social Securities
• Strong Writ Of The Government On All Fronts
State Of Governance In Pakistan
• Institutional Imbalance
• Poor Relations Between Centre And Provinces
• Political Instability
• Inability To Provide Justice
• Lack Of Control Over Law And Order Situation
• Inefficient Economic Management
• Expenditure Mismanagement And Debt Trap
• Unfair System Of Taxation
• Lack Of Accountability
• Corruption
• Poverty And Inflation
 
Top