Hum Ko Darr Hai Wo Darr Na Jaye Kahin Is Liye Muskuraye Phirta Hoon

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan​
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin​
Ab k Awaz doon to aa jana​
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin​
Un ka Wada to hai magar Dil ko​
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin​
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey​
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin​
Meri Dunya hai Dard ki Surat​
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin​
Khak se Aab tak to aa pohnchey​
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin​
Yeh Mohabbat b ek Bala theri​
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin​
Is liye Muskuraye phirta hoon​
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin​
Dil se guzra to hai magar Saqi​
Apni Jaan se guzar na jaye kahin​
 
Top