Assalam O Alaikum pyaray Bhaion aur Bahnon.
Name = Precious
Age = Bohat ziada (Sub buchchay lugtay hain site pay)
Kam = Farigh ul bari (naheen samjh aay to pooch lijaay ga)
Dimagh = Satwain Asman par
Qabiliat = Hum sa koi ho to samnay aay. (Apnay kaam main mahir o yakta)
Taleem = Parh parh kar dimagh kharab kar lia hai (ub logon ka kartay hain, Jub parhatay thay to buchchon ko parha parha kar unka dimagh kharab kartay thay)
Shauq = Is ka na poochain yay kahain kis kaam ka shauq naheen (buraion ko chor' kar)
Khuwahishain = Hazaron khuwahishain aisi kay her khuwahish pay dum diklay
Pasand = Her achchi cheez aur Achchay Insaan pasand hain (Larkon, mardon aur budhdhon ko chor' kar)
Pasandeeda Mashghala = Sites pay ja kar par'hna, Taqreerain karna aur ghalat baat pay lar'na.
Khitaabaat = Keer'ay baaz, Hitler, Aflatoon, Phiri dimagh, Pagal, Ziddi, (Naheen kisi hukumut ya angraizon naheen hamaray zalim samaj ghar walon nain diaay hain)
Aik Aham baat jo main khaas tor say batanay ki liaay is jagah aai hoon wo yay hai kay mujhay Kisi tarha say bhi larkon say baat karna pasand naheen hai aur us waqt to bohat bura lugta hai jub ko email address mangta hai to.
Site pay kaam ki baat karna kisi thread main ya thora bohat to theek hai per Personal message ya Profile pay kisi lar'kay ya buchchay say baat karna hargiz pasand naheen hai jawab agar day bhi doon to bohat koft hoti hai. Haan larkiaan hon to maza ata hai achcha lugta hai aur khushi hoti hai.
Agar kisi ko aitaraz hai kay main phir jawab kioon dayti hoon PM, Profile ya thread main to mujhay achcha naheen lugta kay koi agar aap ko message karay to aap jawab na dain. Plz meri guzarish hai tamaam larkon say kay sirf zarori ho to sirf thread tuk baat kar sakta hai PM aur profile main Admin kay ilawa koi naheen.
Jub main kisi kay PM ka jawab naheen doon to is ka mutlub hai kay mujhay aap ki baat baytahasha buri lagi hai agar aap nain luffazi ki hai to. Luffaziaan par'h kar to mujhay bohat ghussa ata hai. So plz agar aap kuch kahain aur main mana karoon to bura na manain that is my right to not give my email address. Is main bura mannay ki koi baat naheen. Jub main mazeed mana karnay kay baad kuch na kahoon to luffazi karnay ki zaroorat naheen.
Agar aap Moderator ya Super moderator hain to meri post delete karnay ki ya bilawajah ka peechay par'nay ki zaroorat naheen. I try not to throw Puththar in keechar' to make myself dirty. Bura lugnay kay bawajood bhi main apna dil o dimagh saaf rakhti hoon.
Aik site pay aik larkay nain add karnay ka kaha main nain add naheen kia apni profile main to wo tap kar meri her post kay peechay ja kar bakwas baziaan karta tha aik din main nain tair'hay munh baat ki to mujhay buri galiaan denay laga. Main nain shikayat ki Admin sa to choon kay unka dost aur poorana member tha so koi sunwai naheen huwi so main nain badla lia aur site chor' di warna site pay sub meri baton ko kafi pasand kartay thay au achchi dosti ho gai thi.
Yahan ussi cheez say buchchnay kay liaay main nain add kia tha jis say logon ko ghalat fehmi huwi kay main kahti kuch hoon aur karti kuch. Naheen aisa hargiz naheen.
Profile main add kar lo to PM kartay hain Pm ka jawab day do to Email mangtay hain chating kay liaay Why? Phir upper say luffazi.
I'm not a desparate HOUSE WIFE again I'M NOT A DESPARATE HOUSE WIFE. Neither was I dseperate when I was too young.
I'm also an old lady. I'm happy with my life what I got. Na kisi kay husn ka aur na hi kisi baat ka mujh pay farq parta hai.
Agar kisi nain ziada tang kia to main chor' jaoon gi yay site " hain jahan main aur bhi sukhunwar achchay" mutlub bohat sitain aik say aik milain gi search main.
Agar meri koi baat say dil azari huwi ho kisi ki to Intehai mazrat chahti hoon.
Munna Bhai aur RR ka Interview bohat zabardast laga.