[FONT=Garamond, Times, Serif]Kabhi kaha na kissi se terey fasaaney ko
Na jaane kesey khabar ho gayi zamaaney ko
Dua bahaar ki maangi tou itney phool khiley
Kahein jaga na rahi merey aashyaaney ko
Meri lehad pe patangoun ka khun hota hay
Huzoor shama na laya karein jalaaney ko
Suna hey ghair ki mehfil mein tum na jaaoge
Kaho tou aaj sajaaloun gharib khaaney ko
Daba ke qabar mein chal dieye, na dua na salaam
Zara si dair mein kya hogaya zamaaney ko
Ab aagey iss mein tumhara bhi naam aayega
Jo hukm ho tou yahein chorr doun afsaaney ko
[/FONT]