kaho...
wo dasht kaisa tha
jidhar sab kuch luta aye
jidhar ankhain ganwa aye
kaha
sailab jaisa tha
bohat chaha k bach niklain
magar sab kuch baha aye
kaho
wo wasl kaisa tha
tmhe jab choo lia us ne
to kya ahsas jaga tha
kaha
us raastay jaisa
jahan se bus guzarna tha
makaan lakin bana aye
kaho
wo chand kaisa tha
falak se jo utar aya
tumhari ankh mai basnay
kaha
wo khuwab jaisa tha
nahi taabeer thi uski
usay ik shab sula aya...
wo dasht kaisa tha
jidhar sab kuch luta aye
jidhar ankhain ganwa aye
kaha
sailab jaisa tha
bohat chaha k bach niklain
magar sab kuch baha aye
kaho
wo wasl kaisa tha
tmhe jab choo lia us ne
to kya ahsas jaga tha
kaha
us raastay jaisa
jahan se bus guzarna tha
makaan lakin bana aye
kaho
wo chand kaisa tha
falak se jo utar aya
tumhari ankh mai basnay
kaha
wo khuwab jaisa tha
nahi taabeer thi uski
usay ik shab sula aya...