Khuwab khawab me Kaaba Dekhna

  • Work-from-home

shabannafees

Newbie
Mar 13, 2011
7
2
3
34
me hamesha se ajeeb se khwab dekhta hu kabhi me tara ban jata hun or aasman me udta hu or mere sath or sitare bhi parwaz karte hain kabhi khud ko pariyo ke sath dekhta hu kabhi behtareen achche achche flower jo mene kabhi dekhe nahi ese dekhta hu jese jannat ke ho parindey dekhta hu ajeeb ajeeb esa lagta hai jese jannat ke parindey hain or masjid to mahine me ek baar dekh hi leta hu pata nahi kaha kaha ki masjidein mene dekhi hain or kai baar namaaz bhi padhi hai qibla ki taraf muh karke or 2-3 different surah bhi khwab me suni hain or hazrate isa alehissalaam ki tasveer khwab me dekhi hai or kabhi esa dekha hai ki mere gale lagkar koi shaks ro raha hai or mujhe muhammad naam se pukaar raha hai
or kaaba mene 2 baar dekha hai alhumdolillah ek baar to esa dekha ke uski khoobsurati ka thikana nahi tha mashallah ke uski ek ek nakkashi bhi mujhe khwab me saaf saaf dikhai de rahi thi or ek baar dekha tha jese maano qayamat aa rahi ho or me kaabe ke samne khada hu or wo yaad karke mujhe allah ke rasool sallallaho alaihi w-sallim ki wo hasdees sharif yaad aa jati hai jisme kaabe ka zikr hai or bataya ke 4 simt se zameen khiskegi mujhe kuch dhundla dhundla yaad hai allah maaf karey asagfirullah lekin sab kuch bada ajib sa hai me din bhi agar koi khawab dekhta hu to wo sach ho jata hai or me aksar kabhi apne kapdo par ghaur karta hu to wo kaale rang ke hote hain janaab koi bataiga mjhe ye kyu hota hai mere saath
 

debator

Regular Member
Mar 20, 2011
103
80
728
UAE
AssalamuAlaikum

Khuwaab ki taaabeer hur koi nahi kar sakta is liya Khuwab hur kisi ko nahi batana Chahiya , sirf aur sirf Jayad Aalim sa ruju karna chahya kyunka agar kisi na khuwab ki ghalat interpretation kardi tu imkaan hai ka khuwab wesa hi ho jaega.

Reference ka liya Ibn-Jireen ki Book sa aik page attached hai regarding someone who see Khana Kaba in dream.


kaaba-Ibn Sireen.jpg

Note: Khuwab ki tabeer person to person and time to time vary kar sakti hai their is nothing like universal constant.
 
Top