khud ko taqseem na karna mere saray logo

  • Work-from-home

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
Ab mere dosray bazoo pe wo shamsheer hai jo
Is se pehle bhi mera nisf badan kaat chuki
Usi bandok ki goli hai meri samt ke jo
Is se pehle bhi meri shah rag ka lahu chaat chuki
Phir wohi aag dhar aye hai meri galyuun mein
Phir mere shehr mein barood ki boo pheli hai
Phir se tu kaun hai mein kaun hoon aapas mein sawal
Phir wo takraar mayan man o tu pheli hai
Is se pehle bhi to aisi hee gadi aye thee
Subh e wehshat ki tarah shaam e gharibaan ki tarah
Is se pehle bhi to paimaan e wafa tootay thay
Sheesha dil ki tarah aina e jaan ki tarah
Ab magar aisa nahee aisa nahee honay dena
Aye mere sokhta jaano mere dard ke maray logo
Kisi zaalim, kisi jaabir kisi hakim ke liye
Khud ko taqseem na kara mere saray logo

Ahmed Faraz

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top