main chahne walon ko mukhatib nahin krta
aur tark e ta'aluq main wazzahat nahin krta
main apni jafaon pe nadim nahin hota
main apni wafaon ki tijarat nahin krta
khushbu kisi tashheer ki mohtaaj nahin hoti
sucha hun magar apni waqalat nahin krta
ahsaas ki suli pe latak jata hun aksar
main jabr e musalsal ki shikayat nahin krta
main azmat e insaan ka qail to hun mohsin
lekin kabhi bandon ki ibadat nahin krta