Aadmi ke dard ko mai kis tarah parkha karu?
Ghaav apne kaun se bazar mein ruswa karu?
Ghaav apne kaun se bazar mein ruswa karu?
Laash hai jamhuriyat ki be-kafan, be-aabroo,
Mai akela kabr khodu ya fir syaapa karu?
Mai akela kabr khodu ya fir syaapa karu?
Aaina ki saafgoyee per khafa hai yahan ka aqs bananewala
Aaina fitrat badalta hi nahi, mai kya karu?
Aaina fitrat badalta hi nahi, mai kya karu?
Her ebadatgaah apne dhaav mein mashgul hai,
Mai kahan pooja karu fir mai kahan sajda karu?
Mai kahan pooja karu fir mai kahan sajda karu?
Hai, yahi tasvir ka rukh ab meri taqdeer mein,
Unke saaye ke tale
Unke saaye ke tale