Main lamhon ko waqt ki pukar deta hun
Issi lagaan me kai shaamein guzar deta hoon,
mein yunhi her aik se Be'raabt nhi milta..
Her shaks ko us ka mayaar deta hoon,
Me gum ki kashti ko deboona nhi chahta
Bojh barh jai to kch utar deta hoon
khushyan koi mange tou muft deta hoon
gum mange koi to udhar deta hoon
badla lena meri fitrat me nhi
khizaan k badle bahar deta hoon