
Duaon ke jhamelon mein meri bhi kuch dua rakhna
agar ranjish hai dil main aaj to usko bhula rakhna

karo kuch yun meri is zindagi ki her khushi le lo
meri ankhon mein apni aankh ka aansu saja rakhna

agar mushkil tumhein ho faisla mere liye karna
nigahein band kar lena bhale dil ko khula rakhna

sabhi tanhaaiya apni mere kamre mein band kar do
mere yaron ko apni mehfilon mein tum bula rakhna

bhale tum sab bhula dalo nayi mehfil ki chahat main
meri yadon ko thukra do magar paas-e-wafa rakhna

jo ek podha lagaya tha kabhi hum ne muhabbat ka
guzar na ho baharon ka use phir bhi hara rakhna

agar tum ko satati hon meri yadein kabhi aa kar
murawwat tum nahi karna unhein khud se juda rakhna

tumhare haath per ek roz apna naam likha tha
main mangoonga na kuch tumse use bas tum likha rakhna

milein tumko sabhi khushiyan yahi hai ab dua meri
suno! Apne tabassum main koi na gham chupa rakhna

mere maula! hai us ki aankh main aansu abhi baaqi
agar daman pe gir jaye use moti bana rakhna
