Meri Dua may asar kahan hay?

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

Har aik lamha sitam hay jaari, tazzad_e_shaam o sahar kahan hay?
lahu se bheegey dareeda aanchal,salamti ka nagar kahan hay?

zameen pe bikhrey hain zard pattey,khizan ne sab kuch nigal liya hay
hmare hakim ko in badalti hui rutton ki khabar kahan hay?

usse pukara to bazgasht_e_sada se pala parra hay yusaf
wo khud miley to karam hay uska,meri dua may asar kahan hay?
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
aalaaaaaaaaaaaaaaaa...
 
  • Like
Reactions: hoorain

jazzmish

TM Star
Dec 7, 2010
1,076
540
813
islamabad
apa ap explain kar do ma a k parh lu gi ubi i gota go but plx jo thoray dificult word ha jus un ka meaning likh do ....thanks
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
je apki kar do dat will b so nyc of u ........
ahem ahem to suno


shayer uncle keh rhe hain kk

ab to din raat koi bhi lamha aisa nhi jab logon pe zulm nhi ho rha (tazad_e_sham o sahar ka matlab din aur raat k farq k baghair)
zulm itna bhar chuka hay har taraf khoon hay sitam hay to slamti ka ghar kidar hay aman kidar hay log pnah k liye kidar jayain?

yahan shayer uncle ne zulm k mousam ko khizan k mousam se tashbeeh di hay aur zard patton ko mayusi aur zulm se
lakin is k bawajood hmare hukmaran la ilm aur be fikar baithey hain kia unhe ye sab ki ilm nhi hay?

shayer uncle bolin k usse pukaarne k liye jab maine aawaz buland ki to muej jawab may apni hi aawaz wapis sunayi di k koi hmari nhi sunta

shayer end pe mayus hoing aur boling k ab to meri dua may asar nhi hay shayed wo khud hi mil jaaey to ye uski merubani hogi :p

samajh aayi na {(popcorn)}
 
  • Like
Reactions: jazzmish

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
apa ap explain kar do ma a k parh lu gi ubi i gota go but plx jo thoray dificult word ha jus un ka meaning likh do ....thanks
theek hay aa kar zaroor parhan maine bohat mehnat se wazahat ki hay itni mehnat se to shayer ne likha nhi hoga :s:p
 
Top