Mix Poetry

  • Work-from-home
Aug 19, 2010
22
9
0
32
Haq Muhabbat Ka Bohot Khoob Adda Kartay Ho,
Dost Bunn Kar Meree Chaahatt Sey Dagha Karte Ho,

Mere Dushman To Tassalli Mujhay Detay Hain Magar,
Raat Din Tum Mere Marnay ki Dua Kartay Ho,

Rehta Nahee Insaan , To Hota Naheen Ghamgeen,
Ek Roz Zameen Aourh kay Sow Jaaien gay Ham Bhi,

Haan Half e wafa Shok Se Uthwaiyee Lekin,
Ham Log Wafaa Daar Be Qol o Qasam Bhi,

Raasta Kaat Kay Har Baar Guzar Jaata Hai,
Jesay Pardes Main Tehwaar Guzar Jaata Hai,

Zindagi Ishq Main Youn Guzri Hai Apni Danish,
Jesay Baazaar Say Naadaar Guzar Jaata Hai ,:(

Tum Ko Maloom Hai Aaye Ga Na Qaatil Mera,
Dair Kiu Kartay ho, Mayyat Ko Uthao Yaroo!!!


Atta Ullah Khan Esa Khelvi Kay Gaanay Se Intikhaab
 
Aug 19, 2010
22
9
0
32
Dill Kay Armaan Aansuon Main Beh Gaye

My World are MY Dreams

Dill kay Armaan Aansuon Main Beh gaye,
Ham wafa Kar kay Bhi Tanhaa Reh gaye,

:(

Zindagi Ek Pyaas Ban kar reh Gai
Pyar Kay Qissay Adhooray Reh Gaye,
:(
Shayad Aj Un Ka Akhri Ho Yeh Sitam,
Har Sitam Yeh Soch Kar Ham Seh Gaye,
:(
Khud Ko Bhi Ham Nay Mita Daala Magar,
Faaslay jo Darmyaan thay Reh Gaye,
:(
Dil Ke Armaan Aansuon Mein
 

Attachments

Aug 19, 2010
22
9
0
32
Ham Bewafa hargiz Na thay, Per ham wafa kar na sakay
Ham ko mili uss ki saza ham jo khata kar na sakay,

Kitni Akeli Thee Wo, Rahain ham jin pey ab tak akelay chaltay rahay
tujh se bichar kay bhi, o be khabar ,tere hee gham main jaltay rahay

too nay kiaa jo shikwa, ham wo gila kar na sakay

Tum nay jo dekha Suna, Sach tha magar,kitna tha sach yeh kiss ko pata?
janay main nay tumhain koi dhoka dia,janay tumhain koi dhoka hua
iss pyar main sach jhoot ka,tum faisla kar na sakay
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~
Aug 19, 2010
22
9
0
32
Agar Bewafa Tujh Ko Pehchaan Jaatay
Khudaa Ki Qasam Ham Mohabbat Na Kartay

Jo Maaloom Hotaa Yeh Anjaam E Ulfat To
Dill Ko Laganay Ki Jurrat Na Kartay

Jisay Phool Samjha Wohi Khaar Nikla
Teree Tarha Jhoota Tera Pyaar Nikla
Jo Uth Jaatay Pehlay Hee Aankho Say Parday To!
Bhoolay Say Bhi Ham To Ulfat Na Kartay,
Agar Bewafa Tujh Ko Pehchaan Jatay

Jinhain Tum Nay Samjha Meree Bewafai
Meree Zindagi Ki Wo Majbooriaan Theen
Hamari Mohabbat Ka Ek Imtehaan Tha
Yeh Dou Din Ki Thori C Jo Dooriaan Theen,
Agar Sachi Hoti Mohabbat Tumhari To,
Ghabra Kay Tum Youn Shikayat Na Kartay,

Agar Bewafa Tujh Ko Pehchaan Jatay

Mera Dill Ka Sheesha Hua Choor Esa
Kay Ab Laakh Jorooon To Jurr Na Sakay Ga,
Tu Pathar Ka Butt Hai, Pata Jo Yeh Hota To
Dill Tootnay Ki Shikayat Na Kartay

Agar Bewafa Tujh Ko Pehchaan Jatay

Jo Ham Pey Hai Guzri, Hami Jaantay Hain,
Sitam Konsa Hai Nahee Jo Uthaya,
Nigaahon Main Phir Bhi Rahi Teree Soorat,
Har Ek Saans Main Tera Peghaam Aya
Agar Jaantay Tum Hee Ilzaam Do Gay To
Bhoolay Say Bhi Ham To Ulfat Na Kartay

Agar Bewafa Tujh Ko Pehchaan Jatay
Khuda Ki Qasam Ham Mohabbat Na Kartay...
Muhammad Rafi
Muhammad Rafi.jpg
 
Top