mohobbat ke mazaaron tak chaley gay

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
MOHABBAT KE MAZAARON TAK CHALEN GAY

Mohabbat ke mazaaron tak chalen gay
Zara pee lain sitaaron tak chalen gay
Suna hay ye bhi rasm-e-ashqi hay
Hum apny ghamgusaaron tak chalen gay
Chalo tum bhi safar acha rahy ga
Zara ujrray dayaaron tak chalen gay
Jawan zulfon ke parcham khol dejiye
Mehakty lalazaron tak chalen gay
Junoon ki waadion se phool chun kar
Wafa ki rahguzaaron tak chalen gay
Chalo saghar ke naghmy sath le kar
Chalakty joebaaron tak chalen gay
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top