Mun Chalay Ka Soda' Ashfaq Ahmad

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Murshid Kuch Nahi Kerta... Wo Koi Kamal Naheen Dikhata... Haan Bas Mureed Kai Ander Piyaas Paida Kerta Hai...Piyas Berhata Hai Keh 'Khull' Kai Paani Kee Taraf Berh Sakay... Apnay Aap Ko Pehchanay... Aur Wahdat Kai Derya Mai Chalang Laga Ker Apni Piyas Bujha Sakay... Yeah Chalang Sirf Us Waqt Lagayee Ja Saktee Hai Ja Aap Kai Ander... Khauf Kai Muqaably Mai Piyaas Ziada Ho... Piyaas Nai Aap Ko Terpa Kai Rakh Dia Ho... Aur Aap Paani Paani Pukartay Phirtay Houn...

Teacher Mai Aur Guru Mai Bara Ferq Hai... Ustad Aur Murshid Mai Bara Fasla Hai... Ustad Likhata Hai, Perhaata Hai, Batata Hai... Uskay Pass Sikhanay Aur Aur Perhanay Ko Buhat Kuch Hota Hai... Rohaniat Sikhayee Ya Perhayee Nahi Ja Sakti... Yeah Tou Akhtiar Kee Jaati Hai... Talib e Ilm Batin Ka Safer
Akhtiar Naheen Kerna Chahta... Iska Ilm Hasil Kerna Chahta Hai... Mochi Ban-na Nahin Chahta Hai... Sirf Shoe Making Ka Ilm Hasil Kerna Chahta Hai... Talib e Ilm Tabdeeli Ka Khahish Mand Naheen Hota... Sirf Ilm Ka Khahish Mand Hota Hai...

Mureed Poochta Hai Mai Badal Kaisay Sakta Huun... Jauher Mai Kion'ker Uter Sakta Huun... Zindagi Koi Masla Tou Naheen Kai Saleeti Pencil... Lai Ker Iska Hal Dhundnay Lag Jaayean... Zaindagi Tou Zindagi Hai... Yeah Tou Baser Kee Jaati Hai... Roohaniat Tou Mun Chalay Ka Soda Hai... Koi Zor Zaberdasti Naheen..
.


Mun Chalay Ka Soda' Ashfaq Ahmad



 
Top