Khuwab Murda

  • Work-from-home

kashifalmas

Newbie
May 3, 2011
2
2
0
SIALKOT
Mujay kuch din pehlay aik khawab aya tha.main uss ki tabeer chahta hoon. Please reply me.

Main nay khwab main daikh k main aur meray aik uncle kisi jagha per kharain hain aur aik doosray say koi baat kar rahain hain. phir barish hoti hai aur humara topic change ho jata hai. iss dafa hum meray susar (jo foot ho chukay hain) k baray main baat karna shuro kartain hai. phir aik dum say meray dil main khiyah aata hai k ja k un say mila jay. main akeela he chala jata hoo kabrastaan ki taraf (yeah wo kabrastan nahi tha jaha un ki kabar hai). waha kia daikhta hoon k un ki kabar say sari miti kisi nay hata di hoi hai. main dartay dartay kabar k under daikhta hoo. k meray susar ki dead body waha majood hai. un ki sari body bulkul theek lagrahi hoti hai per un ki aankhain under ki taraf dansi hoti hai. phir koi meray susar k khilaf koi baat karta hai (mujay nahi pata k kia baat karta hai). mujay bohat gussa aata hai. per kuch hi dair baad mujay kuch aawaz aati hai aur meray susar kharay ho jatain hai. phir har taraf afra tafri si much jati hai.
 
  • Like
Reactions: *shehzadi*
Top