My Ghazls ' Collections

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Dil hatheli per liye sab ne qataar’ain baandh lee’n
Sab ne aankho’n ki sajai kehkasha’n tere liye
Apni umeedo’n k taaray tery aagay rakh diye
Kar diya sab ne zameen ko aasman tery liye
Cactus jaisay hain ye mery dar-o-deewar bhi
Mera kamra hai dasht-e-be-ama’n mery liye
Mein to sardi’on ki thitharti raat ka mehtaab hun
Kon kholta hai ghar ki khirki’an mery liye?
 
  • Like
Reactions: Binte_Hawwa

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Teri paayal tery khuwabo’n ki sadaa. .
Jaisy sehra mein saraabo’n ki sadaa. .
Itna hasaas hun, sun leta hun. .
Shaam k zard gulabo’n ki sadaa. .
Jism sunta hai sakoot-e-shab mein. .
Dil k pur-shor azabo’n ki sadaa. .
Ghaur se sun kisi almari mein. .
Gard aaloodkitabo’n ki sadaa. .
Raat aya tha chambeli ka paighaam. .
Jaisay khoye huay khuwabo’n ki sadaa. !
 
  • Like
Reactions: Binte_Hawwa

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Quwwat-e-fikr jis mein ghatt jaye
Zehn tareek’ion mein butt jaye
Dil ghubaar-e-alum mein att jaye
Aadmi zindagi se katt jaye
Aisi deewangi se kia haasil?
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?
Ishq aisa to ho k jiski chamak
Dil ki tareeek’ion ko door kary
Fikr ko aabshaar-e-noor kary
Sheesha-e-ghum ko choor choor kary
Aisi deewangi se kia haasil?
Is ghum-e-aashiqi se kia haasil?
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Pehlay aap batain mujh ko
Aap ka chehra peela kyun hai?
Aap k kapray mailay kyun hain?
Wo neeli si shirt kahan hai?
Aap ki leather belt kahan hai?
Ainak k number kyun badlay?
Kyun dhundli dhundli hain aankhain?
Kyun itna likhtay parhtay hain?
Aap k in uljhay baalo’n ko
Kon wahan suljhaata ho ga?
Is wehshi, is Maztar dil ko
kon wahan behlata ho ga?
Wo to dasht hai tanhai ka
Chain wahan kab aata ho ga?
Resham jaisy kitny sawaalo’n k guchay hain
Jo pardes se ghar aaty hi khul jaaty hain
Sochta hun mein
Maa’n, mehbooba aur bivi
Ye teeno’n rishtay
Aapas mein jab mil jatay hain
Jaisay Door kahin sehra mein
Taaza Phool Khil Jaatay Hain. . !
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mery haalaat ki abtari dekh kar . .
Us k abbu ne thukra diya tha mujhy . .
Phir achanak wo ik anjuman mein mili . .
Apni khamosh palkain jhukaye huay . .
Wo mery pas aa kar kharri ho gai . .
Chand lamho’n talak khanjar-e-khamoshi ..
Dheeray dheeray kalaij’on mein chalta raha. .
Waqt hairan aankho’n ko malta raha. .
Phir zara daair mein mozu-e-guftugu. .
Apny hath aa gaya. .
Yani mosam, siyasat, ghum-e-zidagi. .
Dair tak us se jee bhar k baatain hui’n. .
Phir wo chaltay huay aik pal ko ruki . .
Mujh se kehny lagi:
Shayari se bhala kia mila aap ko?
Sirf palko’n ka num?
Sirf yaado’n ka ghum?
Aap ki shohratain, aap ko besh-o-kam . .
Kuch na de gi kabhi shayari mohtaram. . !
Mat bura maniye ga meri baat ka. .
Ye taqaza hai mojooda haalaat ka. .
Is liye jan-e-man shayari chorr kar. .
Fann k in raigzaaro’n se munh morr kar. .
Ab Dubai aur Musqat ka rukh kejiye. .
Chand barso’n mein jab aap ki jaib mein. .
Aath dus laakh ho’n. .
Tab watan aaiye. .
Aur abu se phir maang lejiye mujhy. !
 
  • Like
Reactions: Binte_Hawwa

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Kaha : Din ko bhi ye ghar kis k liye veeran rehta hai?
Yahan kia hum sa koi be-sar-o-saamaan rehta hai?
Dar-o-deewar sannaattay ki chaadar mein hain khuwab’eeda
Bhala aisi jaga zinda koi insan rehta hai?
Musalsal poochnay per aik chilman se jawab aya:
Yahan ik dil shikasta sahib-e-deewan rehta hai
Kaha: Kia is k risht-e-daar bhi nahi milny aaty?
Jawaab aya : Ye sehra raat din sunsaan rehta hai
Kaha : Is k ghar k aangan mein hain kuch phoolo’n k poday bhi
Jawab aaya k khaali phir bhi her guldaan rehta hai.
Khuda ka shukr hai hum ik fiza mein saans laity hain
Agar milty nahi, itna to itminaan rehta hai . !
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Tum ne hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalny per
Jeewan k be-ant safar mein, Ghair ka ho kar chalny per
Meine tumhari aasha’on ka, Her her roop saraha tha
Meine apna aap bhula kar, Tum ko toot k chaha tha
Umer ki ujli deewaro’n per, Qismat ka andheyaara tha
Aur boht they suraj lekin, Tum sa charaagh hi piyara tha
Lekin tum hi mery maseeha, Nafrat k saanchay mein dhal kar
Ik Din mery saamney aa gaye, Qaatil ka behroop badal kar
Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay
Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !
 
  • Like
Reactions: Binte_Hawwa

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Bus yunhi rasmi rasmi sa
Ik be-mafhoom ta’aruf tha
Us ne mera number mang liya
Phir ik din telifone kiya
Phir fone kiya..
Phir fone kiya..
Ik roz thi barish zoro’n per
Baadal garjay, Bijli chamki
Phir boondai’n barsi khirki per
Tab uska telifone aya
Be-saakhta meine us se kaha
Barsaat mein tanhai ki saza
Kyun deti ho?
Kyun karti ho tum fone mujhy?
Kuch lamho’n tak wo chup si rahi
Phir kehnay lagi:
Jo aap ka dheema lehja hai
Mujhy be-hadd acha lagta hai
Awaaz jo ap k honto’n se
Tashna kaano’n tak aati hai
MUJHY “USKI” YAAD DILATI HAI…!
 
  • Like
Reactions: Binte_Hawwa

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi
God mein lainy wali baanh’ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi
Maa’n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi
Bujh jaingi roshan aankhain
Maa’n tum chain se so jaogi
Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar’on k qaatil jumley
Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo’n to dum ghut’ta hai
Ashk piyu’n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray
Kitni sham’ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se
Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?
Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai
Janey kab tk ro’aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin
Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .
Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!
 
  • Like
Reactions: Binte_Hawwa

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Mery chaaro’n taraf hai dasht-e-be-paaya’n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa’n! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso’n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaash’ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa’n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta’aqub mein hai mery gardish-e-dauraa’n, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee’n zinda hain
Meri nazro’n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm’on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai!
Bujha do piyas sholo’n ki, Kanaster daal do us per
Sulagtey bainn sun kar ab nahi’n bedaar ho gi woh
Kahani so gai, Phoolo’n ki chaadar daal do us per
Ek strature k pahiye ghoomtey hain burn unit mein
Ye manzer dhaanp do, Acha sa manzer daal do us per. . !
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Huahishoon ka lasha hai
Zindagi tamasha hai
Toot jata hai sada
Jo bhi but tarasha hai
Dil na jaanay anbasaat
Dard hi shanasa hai
Mil kay bhi milta nahi
Bohat usay talasha hai
Na zindagi sa hai gila
Na tum sa koi aasha hai
Pyar waday or wafa
Sara kuch tamasha hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Yaad ko pighalnay main dair kitni lagti hai
Khahishoon ko jalnay main dair kitni lagti hai
Aaj us na kah dia door janay sa qabal
Rasta badalnay main dair kitni lagti hai
Zindagi bana lia usko apni rooh ki
Zindagi badalnay main dair kitni lagti hai
Us kay janay sa mujhe agahe hui hai yah
Bastiaan ujarnay main dair kitni lagti hai
Hadsoon na torra hai dostoon na jora hai
Aadmi ko marnay main dair kitni lagti hai
Tum bachana pyar kay is diye ki aanch ko
Aandhion ko chalnay main dair kitni lagti hai
Us kay waday par rahay kuch khabar bhi na rahi
Pyar sa mukarnay main dair kitni lagti hai
Phool kay nikalnay tak rha mera uska saath bas
Phool ko bhikharnay main dair kitni lagti hai
Tairgi muqadar ki jaan hai meri ye warna
Raat ko guzarnay main dair kitni lagti hai
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Aaj ki raat niklo na taro zara
Aaj ki raat tanha guzaaro zara
Jaan balb hon abhi saans nikli naheen
Rah gaya jo ek teer maroon zara
Meri Kismat ko tareek tar chor do
Apni aankhoon ka kajal sanwaro zara
Sakht mushkil main hoon or bay haal hoon
Apnay dukh ko zahan sa utaaro zara
Main na khoya hai khud ko isi dhool main
Tum batana usay rahguzaaro zara
Tanz-e-ilzaam baatain bhari zahar say
Saaray hanjar badan main utaaro zara
Phir sa barh jayain gay pyaar kay raabtay
Is anaa ki larae main haaro zara
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Udaas raatain naraz pal hain
Jo aaj thay huay wo kal hain
Qata-o-Taluq o sard-e-mahrii
Mas’loun kay uskay ya hal hain
Samaye thay jo ragoon main meri
Nazar say meri wo aaj ojhal hain
Musafatoon na thaka dia hai
Nazar hai dhundhli pao’n shal hain
Wo asal wo saraab sa tha
Jo firqatain hain wohi asal hain
Mera ta’aaruf hain qaiso majnoon
Hum aashiqoon ki koi nasal hain
Nuwazishain thi inayatain thi
Par aaj kia hai ya kia badal hain
Bahar ab kay kah hai layee
Kay zard saaray huay nahal hain
Yahee raha bas faraib hum ko
Humi abd hain hami azal hain
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Yaadon ko meray dil sa utarnay bhi nahi deta,
Jeenay bhi nahi deta wo marnay bhi nahi deta
Zulfain hain pareshaan aankhoon main kaeen dard
Farqat ka ye sadma Sanwarnay bhi nahi deta
Aankhon main utar jatay hain an dekhay jazeeray
Mujh main mera khuwaab wo marnay nahi deta
Ho jaen to begaanay us ki tarah hum bhi
Pindaar mera mujh ko bhi mukarnay nahi deta
Aankhoon sa bhalay door hui soorat teri
Ya dil hai k tera aks badalnay bhi nahi deta
Is darja sataya hai andheray nay mujhe ab tou
Sooraj meri duniya main Ubharnay bhi nahi deta
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Naa koi rabt hai baaqi na koi raabta rakha
Bicharnay walay sa hum na na koi waasta rakha !
Mufqil kar diye us na sab dareechay Muhabat kay
Main jis par chal kay aajaon na koi raasta rakha
Sabhi rishtay Bhula bethay magar na koi hosla toota
Huda kay baad to bas tha kay tumhara aasra rakha
Kabhi madham nahi hotay tumhaari yaad kay jugnoo
Hujoom e Gham main bhi rowaan hum na ye kaafla rakha
Kinaaray lag gaya wo to muahabat bhool betha hai
Mujhe ronda usi na hai kay jis nay Na khudaar rakah
Kay jaisay saans chalti hai jaisa dil darhatka hai
Tumhaari yaad sa hum na kuch aisa silsila rakha hai !
 
Top