Idea My Humble Request From Don

  • Work-from-home

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
As salam u alikum ,
Main ek baat kab see kerna cchaty thi ,pehle socha k mujse kya , mager ab lagta hain k as a Muslim meri zimedari banty hain , Baat yeh hain k
Allah Talah k name , Quran ki ayat , Hazarat Muhammad se related koi b baat duwas etc yeh sabbbbbb hum sab k lia bohat hi mukadas hain , tu forum main khuch users in ko apne avi main yah fir singi main yah fir status updates main use kerty hain

Start main , maine b kya mager mujse yeh realize howa k hum be_adbi ker rehe hain

now pehli baat k main tu apne chilhood se hi yeh sunty ayi hoon k Allah ka name ager khisi jaga lika hain tu sab se oper rako even k quran pak k oper koi dosri book rakna b ghlat hain or honi b chaiye , yeh sab humare lia bohat ehtram ki cheeze hain

ab singi k oper log songs main post ker rehe hain avai k oper dosro k nam hain
tu meri Don se request hain k woh apne rules main yeh likein users Ase singi use na kerin

ho sakta hain jis point se main soch rahi hoon app logo ko woh nasar na aye but mujse lagta hain k Don as a admin is baat k lia soche
ager hum muslim hain tu is terah Apne payre Rab k nam ki be_adbi ker rehe hain

Regards: Mahi

please yaha koi frikawarana larai start na kerin dein thx
 

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
Well yeh bat mujhy bhi irritate karti hai mahi. Lekin phr samne se yeh bat bhi ati hai ke app aese kam he q karen jisse adab pe hurf aay. Lets c big D kia sochte hain:-?
well mere dil main nahi rehe ga k maine bola :(
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
I like your thinking, laykin ayse chezein official rules say control nahi ho saktin. yeh insan ki apni souch hoti hai k wo kis chez ko kayse use kare...
For Example: kitchen may rakhi ek knife say ap chahein to bread par butter laga sakte hain ya phir kissi ka murder kar sakte hain.. its totally up to you..
Staff ab har user ko ungli pakra kar nahi chala sakte... But kiun k ab ap nay yeh baat highlight kar di hai.. is lie may tamam user say guzarish karonga k agar wo kahi aysi situation dekhin to user ko point kar dijiye kudh say... agay user ki merzi hai k wo is bat ko manta hai k nahi..

Ek or reason, mana is lie nahi kia ja sakta kiun k Akser logo k signature may Kalma, Darood Shareef, Hadith ya Qurani Ayaath hotin hain. jo k akser helpful hotin hain.. Personally mere lie bahut faiday mand hotin hain...
Last time mere zahen may ek Question tha ISlam say related and may nay computer on kia so sab say pehle may TM par jata hon as usuall and ayse hi threads visit karte karte kisi ki signature may ek QUran ki ayat thi and beleive it or not wo ayaat mere sawal ka jawab thi ... and I cant remember kon user tha or kia bat thi but I was pretty amazed.

So ayse signature and avatars k kuch achay faiday bhi hain... and yeh user ki responsibility hai k wo isi kayse use karein...

I hope you all understand my point... but agar is chez ko control karnay k lie ap logo k pass koi suggestion hai to please let me know here.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
agreed with don...
isey control to nahi karsaktein..but haan logo ko msg pohcha sakte ehin taake unhe ilm ho..aur agar ap ko waqai koi theek cheez nahi lag rahi..to ap kindly us user ko personally contact karke samjha sakte hein....
2ndly, agar isey control karne jaegein to hum jo Islamic section mei threads lagate hein..udhar bhi Allah ke naam aur sahabas ke naam hein...woh naam bhi hamare user name ke neechay aate hein.........
it was a good reminder for everyone of us still...Allah talah apko ajar dein Maahi........

jo users songs wagehra aur entertainment ke related threads post karte hein...unhe siggi aur avator mei Allah ke naam or dua or anything related islam nahi post karni chahiye..but status is fine...kyonke at some point, when a regular member visits your thread or reads ur post on some thread, he/she can find that post inappropriate...
 

Hoor

Active Member
Oct 22, 2012
324
417
63
BewAfaon ki Nagri
exactly ritee....[DOUBLEPOST=1351209715][/DOUBLEPOST]
I like your thinking, laykin ayse chezein official rules say control nahi ho saktin. yeh insan ki apni souch hoti hai k wo kis chez ko kayse use kare...
For Example: kitchen may rakhi ek knife say ap chahein to bread par butter laga sakte hain ya phir kissi ka murder kar sakte hain.. its totally up to you..
Staff ab har user ko ungli pakra kar nahi chala sakte... But kiun k ab ap nay yeh baat highlight kar di hai.. is lie may tamam user say guzarish karonga k agar wo kahi aysi situation dekhin to user ko point kar dijiye kudh say... agay user ki merzi hai k wo is bat ko manta hai k nahi..

Ek or reason, mana is lie nahi kia ja sakta kiun k Akser logo k signature may Kalma, Darood Shareef, Hadith ya Qurani Ayaath hotin hain. jo k akser helpful hotin hain.. Personally mere lie bahut faiday mand hotin hain...
Last time mere zahen may ek Question tha ISlam say related and may nay computer on kia so sab say pehle may TM par jata hon as usuall and ayse hi threads visit karte karte kisi ki signature may ek QUran ki ayat thi and beleive it or not wo ayaat mere sawal ka jawab thi ... and I cant remember kon user tha or kia bat thi but I was pretty amazed.

So ayse signature and avatars k kuch achay faiday bhi hain... and yeh user ki responsibility hai k wo isi kayse use karein...

I hope you all understand my point... but agar is chez ko control karnay k lie ap logo k pass koi suggestion hai to please let me know here.
sahi kahan don..it depends on man thoughts.........masla yh bi h log socchty hi ni sahi galat ab..
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
ek or baat may yahan yaad dilata chalon k aysi be-adabi say bachnay k lie TM ki taraf say Islamic section may Signature disable hain kiun k akser Signature may song ya phir cartoon ya phir girls ki pix hotin hain..
So basically, jis chez ko hum control kar sakte hain wo hum kar rahe hain but yeh bat jo ap nay point out ki hai yeh TM RULE edit karnay say solve nahi ho sakti completely ...
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
main first flore pe rehta hon or humne Quran pak ko ghar ki sab se onchi jagha per rakha hoa hai lekin masla yeh hai ke dusre flore pr hamare chacha rehte hain to Quran pak to unki puri family se neeche hogaya or woh log Quran pak se oper hogaye?
pak main kafi logon ko dekha hai woh taveez waghera pehne hote hain hifazat ke liye jin pe qurani ayaten waghera likhi hoti hain to wohi taveez hr acha or bura kaam krte waqt unke gale main hi hota hai
masjid jo ke Allah ka ghar hota hai jahan namazen parhi jati hain Quran pak kafi tadaad main rakhe hote hain lekin masjid ki chatt per jana mana to nhi hota balke kal hi ki baat hai khana kaba ka ghilaaf charhaya gaya hai jabke kaba jesi muqaddas jagha koi or nhi lekin phir b kaba ki chatt ko apne paon tale rakha gaya
hamare nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne jab islaam ki tableegh karna start ki to Quran pak ke muqaddas saheefen un baadshahon or hukmuranon ko bhijwaye jo ke musalman nahi the balke napaak or mushrik the jin main kafi badshahon ne un muqaddas safhaat ko phaar ker b phenk dya tha
maqsad kehne ka yeh hai ke kisi bhi cheez ke ehtiraam ka matlab us cheezz ko onchi jagha per rakhna be wazu haath na lagana ya kisi buri jagha per na le jana nhi hota balke uska ehtiraam uske ehkimaat per amal karna hota hai for example hum sab apne parents ka bhi bohot ehtiraam karte hain lekin hamare parents hamen jo naseehaten karte hain hum un naseehaton per bilkol b amal nhi karte unke ehkamat per amal b nhi karte lekin hum unko ghar ki sab se oonchi kursi per badshahon ki tarha bitha dete hain to kya hamare parents khush hogaye ya humne unke ehtiram ka haq pura kardya?
isi tarha Quran pak bhi Allah ki taraf se insaano ki hidayat ke liye hi nazil kya gaya hai har ayat main insan ke liye koi na koi hidayat mojod hai isliye Quran pak ka ehtiram bhi un ayaton per amal kar ke hi pura ho sakta hai usko ghar ki sab se onchi jagha per rakh ker or uske neeche tamaam duniyavi kaam kar ke pura nhi ho sakta kyunke this is fact hum Quran pak ko duniya ki jitni b bulandi per rakh denge woh tab bhi kisi na kisi jandaar ke pairon ke neeche aa hi rha hoga
isliye kisi ke sigi se kisi insaan ko koi achi baat janne ko mil rahi hoti hai ya uske ilm main izafa horha hota hai ya us achi bat ko parhne per woh us achi baat ko apna leta hai to yeh baat us baat se hazar gunah behtar hai jis baat main be adbi ke khayal se insan qurani ayaten likhna parhna or parh ker amal karna hi chor deta hai
 

Aunty_Bilqees

Banned
Oct 12, 2012
1,535
1,379
113
Merriii Zattti Raiiy yeah haii aj kaaal ziaddda tarrr log Deeen/Mazhaaib se bohtt ziadaaa kat chukkkay hain. Esss lieey Askarrr log esss cheez ka khiyaaal nahi rakhtaaay. Logggg tau 5 wqqt ki nimaaaz nahi partttay. yeahhh tau phir kuchh bhi nahhi hai..
 

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
Well @Don main app ki hur baat se agree kerty hoon ,maine Photoshop tut k lia ek forum join kya tha tu os main yeh tha k after activation ek pm ata hain tu mujse yaad nahi k TM main b asa hota hain k nahi tu app k pass ager acha hain tu os pm main rules k saath yeh b add ker dein

@ baqi other members k lia main start main hi bol dia tha may be jo baat mujse ghlat lag rahi hain woh ap sab ko na lage hur insan ka apna sochne ka andaz hain[DOUBLEPOST=1351233331][/DOUBLEPOST]
App ne yeh sawal kia to acha he kia dont b said:)
sorry maine likna tha k ''' well mere dil main nahi rehe ga k maine bola nahi bol dehty ''''
 
  • Like
Reactions: Don

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
may b @Don ki bat say agree karte ho,k ab unho ny islamic tread may signature disable kiye hay...ye unk hat may ta..lakin 1,1 member ko pakar kar ye bat kehna k avatar or sigg ki hurmat ka kayal rakkay to ye na mumkin hy,ye members ko kud kayal rakna chachye....
baaqe @Sky Queen u ka point of view b bilkul sahe hay..hope so ab is tread k bad memberz kud kayal rakkay is bat ka.jazakAllah:)
 
  • Like
Reactions: Don

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
haan baqra eid main yehi masla hota hai muje b ammi bar bar khana khane ko bolen ja rhi hain lekin dopher main jo kaleeji khayi thi wohi hazam nhi hoi abi tk
 
Top