Nazam Collection

  • Work-from-home

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Jinke Chalon Pe HuM
Apni KisMat Ki Buniyadein Rakhte Hai,
Wo Taare Toot Jaate Hai,
Wo DaaMan Chhut Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai
Ke Ye Toote Hue Taare
Phir Se JagMagate Hai,
Musafir Laut Aate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke WaQt Ke Sagar Se HuM
Yaadon Ke Jo Kuch AnMol Se Moti,
Dilke Dhage Mein Pirote Hai,
GaMse Jalne Lagte Hai,
Phir Bikharne Lagte Hai,
Ke Ye Bikhre Hue Moti
Phir Se Jud Bhi Jaate Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Raste Hi Main Kahin Pe,
Manzil Kho Si Jaati Hai,
KadaM Badhate Hi Rehte Hai,
HuM Chalte Hi Rehte Hai
Lekin Fasle Kisi Bhi Tarahse,
KaM Nahi Hote,
Aur Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke HuM Khudko Tok Bhi Dein To
KadMon Ko Rok Bhi Dein To,
Manzar Badalne Lagte Hai,
Yakin Jaano Ye Sab Sach Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Ke Dil Ro Ke Bhi Hasta Hai,
Ke Dil Hans Ke Bhi Rota Hai,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Haan
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai...
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Ab So jao
Kyon Raat Kii Rait Pe Bikhrey hoye
Taaron Ke Kankar Chuntey ho?
Kyon Sanaatey Kii Salwat Mein
Liptii Aawaazien Suntey ho
Kyon Apni Pyaasii Palkon Kii Jhalar Mein
Khwaab Pirotey ho
Kyon Rotey ho?

Ab kon tumharii Aankhon Mein
Sadiyon Kii Neend Undailey Ga
Ab kon tumharii Chahat Ki
Haryaali Mein Khil Khilaye Ga
Ab kon tumhari tanhaii Ka
Un-Daikha dukh Jhailey Ga

Ab Aisa hAi

Yeh Raat musalat hai jAb Tak
Yeh Shammien jab Tak jalti hein
Yeh Zakham Jhaan Tak Chubtey hein
Yeh Saansien jab Tak Chalti hain

tUm Apni Soch Ke jungle Mein Raah Bhatko Aur Kho jao
Ab So jao
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Abhi waqt he mujhy chor ja
abhi maslihat ka moqam he,
abhi Qafilon ka Qayam he,
abhi dastaras main he zindagi,
abhi chashm-e-Num main he roshni,
abhi naqsh-e-paa ko sabat he,
abhi kuch hi der ki baat he,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA....

abhi gard raah se uree nahi,
abhi kirchiyoN main baty nahi,
abhi hur nazara haseen he,
abhi shab-e-No ka yaqeen he,
abhi hum kinaroN per hen khary,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA....

ye safar nahi azaab he,
yahan her qadum pe sarab he,
yahaN bud goomani ka raaj he,
yahaN be wafai riwaaj he,
abhi hosh khony k din nahi,
abhi tery rony k din nahi,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA...

abhi sari nagri andher he,
abhi din nikalny main der he,
abhi behr-e-ishq main na utar,
abhi shahar sara he be khabar,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA..
ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA..
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Yar-Ghamaal Mohabat


Mohabat krtey Rehney ka Wada

Aur wo bhe Ghair-mashrooot...!!!

Mohabat mein Khud-Gharzzi kaisi

Keh Yar-Ghamaal ker lia mere apne-Pan ko

Yar-kaan sa ho gia merey Jazbo'n ko

Yak-musht maar dia Mohabato'n ko

Apni marzi ki Bandook meri Kan-pati pe rakhi

Aur Kaha....

"Jaisa main Kehta Jaon
Waisa hee Karti Jao...!! "
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Na'qaabil.......???
--------------

Hukum-e-Rabbani howa
farishta-e-ajl tayyaar khara
eradah-e-safr liae
par tol raha tha
barq raftaari se kuch zayadah
teiz raftari se
safr pe rawan dawan howa

os lamaha main
sone ka erdaha liae
amaal ke sikkay tol rahi thi
'Laahaul wala quwwata'
ka kalma perh rahi thi
'Subhan Teri Qudrat
Wahdahu laa Shareek hae tu'
ye bol rahi thi
achanuk noor ka badal
ser pe chhaaya....aur

main jaa chuki thi......

meri maiz pe
rakhi diary ke
aek safhay pe
likha tha.............

nazm.....
" Na'qaabil-e-tehreer mout "
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
MUHABAT AAKHRISH HAI KIA???


Me Shaair Hoon To Akser Loog Mujh Se Pochtey Hein
Is Haseen Israar K Baare
Bataain To Bhala Kia Hai?
Muhabat Aakhrish Hai Kia?
Wasi Me Hans K Kehta Hoon
Kisi Pyase Ko Apne Hissey Ka Paani Pilana Bhe
Muhabat Hai
Bhanwar Me Doobte Ko Saahiloon Tak Le K Jana Bhe
Muhabat Hai
Kisi K Waaste Nanhi Si Qurbani Muhabat Hai
Kaheen Hum Raaz Saare Khool Saktey Hoon Mager Phir Bhe
Kisi Ki Bebasi Ko Dekh Ker Khaamosh Reh Jana
Muhabat Hai
Ho Dil Me Dard, Weraani Mager Phir Bhe
Kisi K Waaste Jabran He Hoonto Per Hansi Laana
Zaberdasti He Muskana
Muhabat Hai
Kaheen Barish Me Seh'me, Bheegte Billi K Bachey Ko
Zara Si Deir Ko Ghar Ley K Aana Bhe
Muhabat Hai
Koi Chirya Jo Kamre Me Bhatakti Aan Nikli Ho
To Us Chirya Ko
Pankhey Band Ker K Raasta Bahir Ka Dikhlana
Muhabat Hai
Kisi K Zakhm Sehlana
Kisi Rotey Huwe Ke Dil Ko Behlana
Muhabat Hai
K Meetha Bool , Meethi Baat, Meethey Lafz, Sab Kia Hain?
Muhabbat Hai
Muhabat Aik He Bas Aik He Insaan Ki Khatir
Magan Rehna
Hama Waqt Us Ki Batoon, Khushbowoon Me Dolna Kab Hai
Muhabat Us Ki Zulf K Bul Kholna Kab Hai
Muhabat K Hazaaron Rang
Laakhon Ista'aarey Hein
Kisi Bhe Rang Me Ho Yeh
Mujhey Apna Banati Hai
Yeh Mere Dil Ko Bhaati Hai

 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Log Aurat ko Faqat Jism Samajh Lete hain
Rooh bhi hoti hai Usme Ye Kahaan Sochte hain??

Rooh kya hoti hai us se unhe Matlab hi nahi
Wo to bus Tan K Taqazoon ka kaha mante hain
Rooh Mer jai To ye jism hai chalti hoi Laash
Is Haqeeqat Ko samajhte hain na Pehchante hain

Kitni sadyoon se ye Wehshat Ka Chalan Jaari hai
Kitni Sadyoon se hai Qaim Ye Gunahoon ka riwaaj
Log Aurat ki her ik Cheenkh ko Naghma Samjhe
Wo Qabeelon ka zamana ho K shehroon ka riwaaj

Jabar se Nasl Barhe,Zulm se Tan Mail karain
Ye amal Hum Me hain…Be-Ilm Parindoo me nahi
Hum jo Insaan ki Tehzeeb liye phirte hain
Hum sa wehshi koi jungle k Darindoo me nahi

Ik Bujhi Rooh…Lute Jism K dhaanche k liye
Sochti hun me kahan Jaa k Muqaddar Phoroon
Me na zinda hun …. k Marne ka sahara Dhundoon
Or na Zinda hoon k….Dunya k Ghamoon se Choto’on

Kon Batlai Ga mujhe Kis se Ja Ker Poch’hoon??
Zindagi Qehar k Sanchoon me Dhale Gi Kab tak??
Kab talak Aankh Na khole ka Zamane ka zameer??
Zulm Or Jabar Ki ye Reet chale gi Kab Tak??

Log Aurat Ko Faqat Jism Samajh Lete hain…….
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Tanhayi

Sukouwatay Shab Hai
Tanhayi hai
Lekin aisi Tanhayi
Keh jis mein gounjti rehti hein sari unkahi baatein
Jo dil mein shour karti hein
Lekin keh nahi paatay
Kisi ke door jatay paon ki halki si woh aahat
Kabhi Patton ki khad khad mein
Kisi ke loutnay ka shaq
Kabhi Beetay paloon ki goonj
Kabhi Madham si sargoushi
Kabhi apnay hi ander chal rahi aandhi ki awazayein
Sukouwatay Shab Hai Tanhayi hai
Lekin aisi Tanhayi
Keh jesay door tak phaila hua awazoon ka ek jangal

****************
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Abhi Ek Khuwab Baqi Hai..

Abhi Jugno Nahi Rothe
Abhi Aanso Nahi Tote
Abhi Suraj Nahi Jaga
Abhi Taaren Nahi Dobe
Abhi Mehtaab Baqi Hai

Abhi Ek Khuwab Baqi Hai

Abhi Manzil Nahi Ayi
Abhi Rasta Nahi Tehra
Abhi Jangle Nahi Guzra
Abhi Dariya Nahi Utra
Abhi Girdaab Baqi Hai

Abhi Ek Khuwab Baqi Hai

Abhi Tofan Nahi Tehra
Abhi Ankhon Main Jalthal Hai
Abhi Seene Main Halchal Hai
Abhi Khirki Main Baarish Hai
Abhi Kamre Main Badal Hai
Abhi Barfaab Baqi Hai

Abhi Ek Khuwab Baqi Hai

Abhi Qissa Adhura Hai
Abhi Puri Kahani Hai
Abhi Sara Budhapa Hai
Abhi Adhi Javani Hai
Abhi Us Paar Jana Hai
Abhi Jheelon Main Pani Hai
Abhi Raste Main Daldal Hai
Abhi Payaab Baqi Hai

Abhi Ek Khuwab Baqi Hai
Abhi Ek Khuwab Baqi Hai..


 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Usse Kehna..

Mujhe Ek Nazm Likhni Hai!

Sunehri Dhoop Ke Jaisa Tera Rang O Roop Ujla Sa

Dhuli Barish Se Dekho To Haseen Piyare Nazaren Hain

Falak Ke Istiyare Hain

Yeh Teri Aankh Jaise Hain

So In Sab Per

Mujhe Ek Nazm Likhni Hai

Usse Kehna Murree Ki Jhoomti ChanChal Hawaon Si

Teri In Shokh Zulfon Per

Mujhe Kuch Shair Kehne Hain

Nasheeli Aankhon Main Teri Sharabon Ki Si Masti Hai

Teri Narm Palkon Per Yeh Jitne Bhi Sitaare Hain

Mujhe In Sab Ko Chona Hai

Tere In Band HOnton Main Chupi Jo Muskurahat Hai

Yehi To Shairy Hai Bas

Mujhe Ek Nazm Likhni Hai

Usse Kehna

Teri Aankhen Bohot Kuch Bolti Hain

Teri Baaten Shehed Sa Gholti Hain

Yeh Phoolon Per Giri Shabnam Tere Gaalon Ke Jaisi Hai

Chamakti Chandni Jaisi Teri Roshan Jabeen Per Bhi

Mujhe Ek Nazm Likhni Hai

Ghani Shaakhon Ke Patton Main Chupa WOh Chand Piyara Sa

Tere Chehre Ke Jaisa Hai

Tere Is Chand Chehre Per Mujhe Kuch Shair Kehne Hain

Usse Kehna!!

Mujhe Ek Nazm Likhni Hai

Kisi Bhi Khobsorat Shaam Main Milne Chale Aaye..
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Samandar Pochta Hai Ab Woh Dono Kyun Nahi Aate
Woh Dono Jo Bheegi Raat Per
Ek Dusre Ka Haath Thame Dur Tak
Kabhi Hanste Kabhi Kuch Gungunate
Ya Kabhi Chup Chap Bethe Dur Ufaq Ki Gud Main
Roposh Hone Wala Suraj Dekhte
Aanso Bahate Lout Jate
Samandar Pochta Hai Ab Woh Dono Kyun Nahi Aate
Jo Aate The To Apne Sath Kitne Khuwab Late The
Kabhi Saahil Se Dheron Seepiyan Chunte The
Nange Paon Paani Main Chale Aate The
Bheegi Rait Se Nanne Gharonde Bhi Banate The
Or Un Main Seepiyan Rangeen Se
Kuch Sangreeze Yun Sajate The
Ke Jese Aaj Ke Jugnu Se Lamhe!
Aane Wale Kal Ki Mutthi Main Chupate The
Samandar Pochta Hai Ke Ab Woh Dono Kyun Nahi Aate
Magar Samandar Ne Khiza Ki Siskiyan Leti Hui
Ek Sham Ko Woh Nojavan Ko Nahi Dekha
Jo Dair Tak Tanha Sar e Sahil Raha Betha
Phir Us Ne Dher Sare Khat
Bohot Se Phool Sokhe Or Tasveeren
Or Apne Aakhri Aanson!
Samandar Ke Hawale Kar Diye..
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Maine Ek Pal Ko Tera Naam Liya Tha Shayed
Neend Naraz Rahi Raat Meri Aankhon Se
Khuwab Zaaron Ka Tasawur Bhi Hoa Khuwab Numa
Dil Ki Hartaal Hoi Dard Ki Ahat Jese
Soch Main Khilne Lage Phol Kayi Maazi Ke
Titliyon Jese Kayi Lafz Mujhe Yaad Aye
Teri Awaaz Ki Khushbo Tere Lehje Ki Khanak
Teri Aankhon Ki Shararat Tere Honton Ki Mehek
Tere Bole Hoye Jumlon Ki Woh Khamosh Kasak
Dair Tak Raat Rahi Phir Teri Yaadon Ki Dhanak
Kitne Aanson Mere Lafzon Main Dhale Yaad Nahi
Kab Talak Yaad Ke Yeh Deep Jale Yaad Nahi
Maine Ek Pal Ko Tera Naam Liya Tha Shayed
Neend Naraaz Rahi Raat Meri Aankhon Se..
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Ek Saal Purana Qissa Hai

Ek Larka Tha Dewana Sa

Karta Tha Manmana Sa

Woh Shokh Shokh Chanchal Sa

Mehka Mehka Pagal Sa

Ek Roz Muhabbat Kar Betha

Or Ab Ke Saal Ka Qissa Hai

Ab Woh Maazi Ka Hissa Hai

Woh Pyar Pe Jaan Ko Waar Gaya

Or Apne Aap Ko Maar Gaya

Saare Jag Se Jeet Gaya

Bas Apne Aap Se Haar Gaya..
 

Jahil

Banned
Jul 1, 2011
9,323
3,289
363
Karachi
Jab Aankh Main Aanson Aate Hain
Jab Dil Ki Dharkan Roti Hai
Jab Dur Kahin Sannaton Main
Ek Chaap Si Koi HOti Hai
Jab Mann Main Aanso Girte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Door Koi Koyal Bole
Jab Bhipri Moujen Mil Jain
Jab Pairr Se Patte Gir Jain
Jab Man Hi Man Main Aksar Hum
Subho Shaam Sulagte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Raat Ke Saaye Dhalte Hain
Or Punchi Pankh Andhere Main
Ghar Lout Ke Aya Karte Hain
Phir Hum Jese Dewane Log
Prem Ki Aag Main Jalte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Takia Akser Raaton Ko
Raazon Ka Bojh Uthata Hai
Jab Bichre Waqt Ki Zaad e Saman
Aankhon Ka Bojh Ghatata Hai
Jab Lab Apas Main Milte Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain
Jab Waqt Ke Kore Kaghaz Per
Bas Rang Bharna Rehta Hai
Or Sang Chalna Rehta Hai
Phir Apne Sath Samandar Paar
Door Kahin Ja Baste Hain
Dukh Hanste Hain Dukh Hanste Hain..
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Aankh, Taqdeer Aur Ta’aluq Jo
Jaane Kis Doosre Ke Bas Mai Hain
Saanp Ban Ban Ke Daste Rehte Hain
Apni Saanson Mai Dobte Dil Ko
Chaand Jis Tarz Ka Musafir Hai
Hijr Hi Hai Ke Jo Paraao Mai Hai
Bas Judaai Ko Hai Thehr Jana
Hum To Shikwa Bhi Kar Nahi Sakte
Aur Tanhaaiyon Se Shikwa Kiya
Chaand Be-Chainiyon Ka Mosam Hai
Beet Jane Pe Bhi Hamesha Hi
Apne Aasaar Chor Jata Hai
Yeh Meri Aankh Ke Sulagte Hue
Zard-Ro Aeinon Ki Nam-Naaki
Sab Issi Dard Ki Nishaani Hai
Yeh Mera Be-Sabab Hi Khush Rehna
Sab Issi Gham Ki Azmaish Hai
Ek Khuwahish Hai Jis Ko Marna Hai
Ek Jeewan Jise Ujarna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
(Farhat Abbas Shah)
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Mohabbat Ki Dosri Adhuri Nazm
Mohabbat Zaat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Ki Takmeel Hoti Hai
Koi Jungle Mai Jaa Thehrey
Kisi Basti Mai Bas Jaye
Mohabbat Saath Hoti Hai
Mohabbat Khushbooun Ki Ley
Mohabbat Mosamon Ka Dhan
Mohabbat Aabshaaron Ke Nikharte Paaniyon Ka Mann
Mohabbat Jungalon Mai Raqs Karti Morni Ka Tan
Mohabbat Barf Parti Sardiyon Mai Dhoop Banti Hai
Mohabbat Chilchilaatey Garm Sehraaon Mai Thandi Chaaon Ki Manind
Mohabbat Ajnabi Duniya Mai Apne Gaon Ki Manind
Mohabbat Dil
Mohabbat Jaan
Mohabbat Rooh Ka Darmaan
Mohabbat Moorti Hai
Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mai Kahin Per Toot Jaye To
Mohabbat Kaanch Ki Guriya
Fizaaon Mai Kisi Ke Haath Se Gar Choot Jaye To
Mohabbat Aabla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jaye To
Mohabbat Rogg Hoti Hai
Mohabbat Sogg Hoti Hai
Mohabbat Shaam Hoti Hai
Mohabbat Raat Hoti Hai
Mohabbat Jhilmilaati Aankh Mai Barsaat Hoti Hai
Mohabbat Nend Ki Rut Mai Haseen Khuwabon Ke Raston Par
Sulagtey, Jaan Ko Aate, Rat’jagon Ki Ghaat Hoti Hai
Mohabbat Jeet Hoti Hai
Mohabbat Maat Hoti Hai
Mohabbat Zaat Hoti Hai
(Farhat Abbas Shah)
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Tumhari Talkhiyon Se
Aur Tumhare Na-Tarashida Rawayyon Se
Tumhari Choti Choti Ranjishon Se
Aur Bari Narazgi Se Bhi
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Tumhare Shehr Bhar Se Dil Laga Lene Ki Aadat Se
Tumhari Be-Wafai Se
Tumhari Be-Hisi Se Bhi
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Anaa Ka Darmiyan Aa Kar
Kai Be-Saakhta Jazbey Achanak Maar Jane Se
Dilon Ko Zaat Par Se Waar Jane Se
Kisi Basti Mai Jaa Basne
Kisi Sehra Mai Rasta Bhool Jane
Ya Samandar Paar Jane Se
Mohabbat Kam Nahi Hogi
Kisi Ke Jeet Jane Se
Kisi Ke Haar Jane Se
Mohabbat Kam Nahi Hogi

(Farhat Abbas Shah)
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Shiddatein
Be-Tahasha Hai Tujhe Yaad Kiya
Aur Bhulaaya Bhi Bohot Hai Tujh Ko
Sari Ronaq Hi Tere Dum Se Hai
Aur Tere Bikhre Hue Gham Se Hai
Jis Qadar
Mai Ne Ta’aluq Tera Mehsoos Kiya
Itni Gehraai To Roohon Mai Hua Karti Hai
Itni Yaktaai Kahan Milti Hai
Faasley Wuqat’ten Kho Bethe Hain
Doorian Pheeki Pareen
Itni Shiddat Se Tujhe Socha Hai
Itni Shiddat Se Tujhe Chaha Hai
Shiddatein Ishq Ki Meraaj Hua Karti Hain
(Farhat Abbas Shah)
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain
Dil Ki Qabron Pe Pare......
Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare
Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain
Dard Ki Palkon Se Lipte Hue
Ghabraaye Hue
Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain
Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti
Tum Ne Dekha Hai Mujhe
Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe
(Farhat Abbas Shah)
 

Asma Shah

TM Star
Jan 16, 2012
6,450
1,604
263
KSA,AL-Khubar
Farz Karo
Farz karo ham ahl-e-wafa hon, farz karo deewaane hon,
Farz karo yeh dono baatain jhooti hon, afsaane hon
Farz karo yeh nain tumhare, sach much ke meh-khane hon,
Farz karo tumhen khush karne ke dhoondhe ham ne bahane hon
Farz karo yeh jee ki bipta jee se jor sunai ho
Farz karo abhi aur ho itni, aadhi ham ne chupai ho
Farz karo yeh jog be-jog ka, dhong hi ham ne rachaya ho,
Farz karo bas yahi haqeeqat, baqi sab kuch maya ho
Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti peet hamari ho,
Farz karo is peet ke rog mai saans bhi ham pe bhari ho.
(Ibn-e-Insha)
 
Top