Par Muh Phir Is Tarf Na Kiya Us Ne Jo Gaya

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Duniya mein kon kon na yak bar ho gaya
par muh phir is tarf na kiya us ne jo gaya
phirati hai meri khak saba dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkabar ye kya tujh ko ho gaya
aagah is jahan mein nahiin gair be khudan
jaga wahi idhar se jo mund aankh so gaya
tufan-e-noah ne to dubai zamin faqat
main nang-e-khalq sari khudai dubo gaya
baraham kaheen na ho gul-o-bulbul ke aashati
darta hun aj bag mein wo tund khu gaya
waiz kise darawe hai yom-ulhisab se
giriyan mera to nama-e-amal dho gaya
phulenge is zaban mein bhi gulzar-e-marafat
yan main zamin-e-sher mein ye tukhm bo gaya
aaya na aitadal par haragiz mazaj-e-dahar
main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya
aye “dard” jis ke aankh khuli is jahan mein
shabanam ke tarah jan ko apni wo ro gaya
 
Top