Parhta Hoon Qaseeda Haq Ke Wali Ka

  • Work-from-home


"""Parhta Hoon Qaseeda Haq Ke Wali Ka""""

Parhta Hoon Qaseeda Haq Ke Wali Ka
Sab Milke Lagao Naara Ali Ka,

Zohra (A.S) Ka Shohar, Peeron Ka Peer Hai,
Main Kia Bataon Kitna Ameer Hai,
Taht ul Sara Se Arsh e Ula Tak,
Saare Ka Saara Hai Ruqbaa Ali Ka,

Aik Aam Baal Hai, Aik Khaas Baal Hai,
Jo Khas Baal Hai, Zohra (A.S) Ka Laal Hai,
Nok e Sina Per Quran Sunaya,
Sab ko Parhaya Hai Kalma Nabi KA,


""Kuch Log Qalander Se kehte hain Sarkar Tum Qalander KAise Bane, Yeh Qalandri KAise Mili Aap Ko. Qalander Sarka Ne Najaf ki Taraf Moonh Karke Jawab Diya""

Jhuka hon Is Der Pe Main Ban ke Sawali,
Izzat Mili hai Saare Jag se Nirali,
Aaj Log Mujhe Qalander Kahte Hain,
Lekin Main Sirf Ali ki Gali ka Aik Kutta Hon,

Kaaba Ka Gohar Kab Ke Ander,
Aaya Deewar Ko Bana kar Dar,
Kaabe Main Pehla Hai Sajda Ali Ka,

Miqdad Meesam Salman Qamber,
Koi Ban Gaya Behlool, Abuzar,
Ban Gaya Bhitaai Ban Gaya Qalander,
Jis Jis ne Bhi Lagaya Naara Ali Ka,

Aik Hai Paighmabr, Baara Imam Hain,
Saare Jahan ke liye Rab ka Inam Hain,
Ahmed se leke Imam e Zamana Tak,
Saara Hi Sohna Hai Kunba Ali Ka,

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top