Qissa Hai Ikeeswee.n Sadi Ka

  • Work-from-home

Diary

Regular Member
Jun 25, 2013
62
80
718
kitabon ki duniya
Tu dostoo.n ye qis'sa hay jab ka k jab Aatish jawaan tha.. balke yoon kah lejeye k uss ki jawaani do-aatisha thi..... Yani k qis'sa hay ikeeswee.n sadi k awail ka aur san 2009 k awakhir ka....... Jaisa k app jantey hi hain k bandi ko shairi sey khaasa shaghaf hay..... balke ye kah lejeye k shairi sey ishq hay tu ghalat na ho ga..... Jee sirf SHAIRI sey SHAIROO.N ko is ishq main shamil na kya jaay.. Tu qis'sa hay jab ka k jab hum M.Sc kar rahey thay... isey humaari khush kismati janeye ya bad-qismati k humaarey dostoo.n main kutch aise log bhi shamil thay jo khud ko Tur'ram Khan samajhtey thay in main agar Hazrat-e Enayat ka zikar na karain tu bari na-insaafi ho gi...... Hazrat Saraiki main aisi sureeli Urdu bolte k na pocheye uss pe sitam ye k humaari Urdu pe noqta cheeni!!!!!!!! kahte k ahl-e zabaan hona bari baat nahi mujh si Urdu bolo tu maano tumhain.... aab bhala hum un si sureeli Urdu kahe ko aur kaise bolte ?? Khair qis'sa mukhtasir..... tu janab nay aik din mashwara diya k kyu na hum aik mushairey ka inaqaad karain aur is main university bhar k tamam jaan pehchaan wale sho'ara ko bula lain, zara zoq-o shouq ki taskeen ko jay gi...... abb bhala humain kya aitaraz hum tu khud apni shairana salahiyatain dikhaane ko be-taab thay, so aik mushaire ka intazaam kya gaya department k lawn main . uss din hum barey tayyar shaiyyar ho kar gay goya shair dostoo.n nay humaari ghazal ki nahi balke sarapa ghazal hone ki daad deni ho...... khair jee jab hum moqar'rara waqt per moqaam-e mushaira per pohanchey tu kya dekhtey hain k sirfffffff chaar(4) shair aur 16, 17 shairaat pehley sey mojood hain..... aab humain pata chala k janab ki jaan pehchaan M.Com sey Genetics aur M.B.A sey Islamic learning tak kaise hoi ( jo log Jamia-e Karachi ka hadood-e arba sey waqif hain wo yaqeenan humaari baat samajh gay hoon gay baaqiyoon sey mazrat) Khair jee jab hum pohanchey tu pochne lagey k hazal tayyar hay na ?? aab is na-maqool sawal ka kya jawab dete !! arey bhai jab hum tayyar hain ty kya ghazal tayyar na ho gi .......... ajab ahmaq sey wasta para ........ phir goya howe k maizbaani k faraiz dostoon k AZ HUD ISRAAR pe main anjaam doon ga magar tum meri baraber wali nishist pe bethna kyu k baaqi shairaat zara shermili hain daad sahi na dey sakain gi , jab tum do gi tu yaqeenan unhain bhi daad deney ka saliqa aa jay ga....... aab bhi humain koi aitaraaz na tha kyu k samne sey baith k sab ka tafseeli jaiza balke moa'ina zayada aasan tha....... khair ALLAH ALLAH kar k moshaira shru howa...... hainnnnnn magar ye kya maizbaan sahib nay apna kalaam sunaney k bajay apni aik MANZOOR_E NAZAR shaira ko mad'o kar dala k janaba ko ghar pohanchne ki juldi hay tu in sey pehley sun lejeye main baad main suna doon ga... goya Hatim Taai ki qab'r per laat marne ka fun tu mehaz unhain hi aata tha ........ aab wo shaira aae.n naam hum na lain gay magar un ka talouq shoba-e Urdu sey tha ..... aur shair isi qareebi talouq ki bina pe unhoon nay Urdu k wo wo kakl purze dheeley kye k na pocheye...... dill pe pather rakh k daad dena pari k akhir ko hum nay bhi daad leni thi sab sey akhir ko........ aab janab Enayat Sahab nay apna kalaam sun'na shru kya...... hum daad tu dey rahey thay balke deeni par rahi thi k hazrat nay farmaish ki k moshaire ki riwayat ko malhooz-e khatir rakha jay aur hum un k misrey uthaain. ( mushairoo.n main shair k misra--e olla ko deger shair bilkhasoos maizan baar baar duhraate hain isi ko misra uthana kaha jata hay ) Khuda gawa hay itne be-wazaz misrey hum nay aaj tak nahi uthaay thay..... aur unhain bhi sharam na aai k bais(22) baras ki nazuk andaam larki sey ye kaisi mushaq'qat karwa rahey hain..... itne bewazan misrey uthaay k jism choreye dimaagh tak ki cholain hil aee.n ........ aab bardasht sey sab bahir tha hum pandara (15) minute sey un ki bak bak sun rahey thay magar un ki nazima ghazal khatam hone ka naam hi na ley rahi thi ...... akhir jab unhoo.n nay aik sher panchwee.n baar parha tu hum nay kkaha "" wah wah apke sher k jawab main mujhe aik sher yaad aa raha hay agar ijazat ho tu suna daloo.n ???""" Hazoor isey bhi touseef ka hi aik undaaz samjhey....... mochoo.n k neechey sey muskuray aur kaha "Irshad Irshad"...... jawaban hum nay apna saman thama aur kaha In Main Sey Kutch Bhi Nahi Hay Jab Tumhaarey Bass Ka Rog Sher Kyu Kahte Ho Bhai?????? Kya Koi Takleef Hay iss k baad na pocheye hum tu wahan sey bhaagh kharey howe haan kanoo main logoo.n k qehqahoo.n aur jotoo.n ki tapoo.n ki awaz sunaai dey rahi thi...... maggar hum nay bhi mur kar peechey na dekha k sun rakha tha k peechey dikhne wala pather ka ho jata tha..........
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!

wowww BOhat aala,,,adab aur mazah ka haseen imtizaaaj :-bd
KEep writing sis,,chaa gai ho apa :-bd

@HuriYa @faari @fareena_01 @Rubi @sho_witch @NamaL @Qawareer @seerat rao @Jungli @Bela @Toobi @Lost Passenger @kingnomi @Abidi
 
  • Like
Reactions: Diary and Rubi
Top