Rekhta pataulvi ki shayri

  • Work-from-home

ziaaashna

Newbie
Jan 23, 2012
2
2
0
Lakh Toofan Aate Rahe
Kuchh Diye Jhilmilate Rahe

Lut Gayi Kaynaat-e-Ghazal
Hum Ghazal Gungunate Rahe

Hum Pe Taari Khizaan Hi Rahi
Gulsitaan Lallahate Rahe

Sab Andheron Mein Gum Ho Gaye
Ahle Dil Jagmagate Rahe

Aise Maynosh Bhi Hain Kaee
Bin Piye Dagmagate Rahe

Hain BAahut Sakht Raah-e-Wafa
Raahraw Ladkhadate Rahe

Koyal Aur Qumri -O-Andleeb
Bagh Mein Chahchahate Rahe

Hum The Bekaif Aur Wo Udhar
Choodiyaan Khankhanate Rahe

Mere Naghmon Ko Chhoo Naa Sake
Janwar Chahchahate Rahe

Naaw Chalti Rahi Rekhta
Lakh Toofan Aate Rahe
 
  • Like
Reactions: Fiza Ahmad
Top