sabha collection...................

  • Work-from-home

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Akhri Tees AazMany Ko
G To Chaha Tha Muskurany Ko

Yaad Itni B Sakht Jan To Nahi
Ek Gharonda Raha Hy Dhaany Ko

Sang Raizon Me Dhal Gye Aansu
Log Hansty Rahy Dikhany Ko

ZakhM-E-NaghMa B Lu To Deta Hy
Ek Diya Reh Gya Jalany Ko

Jalny Waly To Jal Bujhe Aakhir
Kon Deta Khabar ZaMany Ko

Khul k Hansna To Sabko Aata Hy
Log Tarasty Rahy Ek Bahany Ko

Reza Reza Bikhar Gya Insan
Dilki Viraniyan Jatany Ko

Hasraton Ki Panah'Gahon Me
Kya Thikana Hy Sar Chupany Ko

Hath Kanton Se Kr Lye ZakhMi
Phol Balon Me Ek Sajany Ko

Aas Ki Baat Ho K Saans 'Adaa'
Ye Khilony Hain
Tot Jany Ko...

 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Main zard beej ho0n aor sabz hona chahta hoon
Mairi zameen,tairi mitti ka mashwara kiya hy??

Bikhr raha hoon teri tarah mein b aey rad e gul
So tujh sy poochta ho0n,taira tajarba kiya hy ??
 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Jab Zaban Par Chup Ke Talay Lag Jain
Tu Dil main othnay Walay Tofan

Andar he Andar Tour Phour Kartay Rahtay Hain
Zahin Main Othnay Wale Sochain
Wajoud Ko Hila Kar Rakh Dayte Hain

Aankhaon Main Bananay Walay Aaks Dundlay Ho Kar
Palkon ke paar Kahen Gum Ho Jatay Hain

Tu Phir

Alfaz Yonhi Kaghaz Par Otarnay Lagtay Hain
Jis Ko Tum Shaer kahtay Ho
Osay Ham Aazab_e Shahor Kahtay hain..


 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
mujh ko ruswa sar-e-mehfil to na karwaya karay
kash anso meri ankhon mai hi rehjaya karay

ay hawa! main to bas on ka pata pocha tha
ab kahani to her bat ki na ban jaya karay

bas bhot dekh liay khuab sohanay din k
ab wo batoon ki rifaqat se na bhelaya karay

aik mosibat to nahi toti so ab is dil se
jis kiyamat nay guzarna ho guzar jaya karay

jis k khuabon ko main ankhon main saja kar rakhon
is ki khusbo kabhi mujh ko bhi to mehkaya karay



 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Gard-e-shaen lot gaen mere balaen lay kar
ghar say jab nikla tha may maa ke duaen lay kar

zindagi doop gai moot kay santay may
baap lota nahi bachay ke duaen lay kar

loog sarkon per nikal ae fasad kay bad
apnay he kandhon per kud apni chathayan lay kar

mere bemari ka ho pae bhala khasay elaj
dost ahbab fakat phool he aee lay kar

bus ise khof say majlay na khilono kay leya
kab talak bachon ko bazar na jaen lay kar

har soo phali then khatan-e-shar sugan may
jab may ae the yahna taza hawa lay kar


 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
tum ne to keh diya kih muhabbat nahi mili
mujh ko to yeh bhi kehnay ki muhlat nahi mili

neendon ke des jatey koi khawaab dekhtey
lekin diya jalaney se fursat nahi mili

tujh ko to kheyr shahar ke logon ka khoaf tha
aur mujh ko apney ghar se ijaazat nahi mili

phir ikhtilaaf-e-raaye ki soorat nikal paree
apni yahan kisi se bhi adat nahi mili

bezaar yun howe kih tere ehad mein hummein
sub kuch mila sakoon ki daulat nahi mili.



 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
ab Zaban Par Chup Ke Talay Lag Jain
Tu Dil main othnay Walay Tofan

Andar he Andar Tour Phour Kartay Rahtay Hain
Zahin Main Othnay Wale Sochain
Wajoud Ko Hila Kar Rakh Dayte Hain

Aankhaon Main Bananay Walay Aaks Dundlay Ho Kar
Palkon ke paar Kahen Gum Ho Jatay Hain

Tu Phir

Alfaz Yonhi Kaghaz Par Otarnay Lagtay Hain
Jis Ko Tum Shaer kahtay Ho
Osay Ham Aazab_e Shahor Kahtay hain..



 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahii.n
tuu bhii dil se utar na jaaye kahii.n

aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahii.n

na milaa kar udaas logo.n se
husn teraa bikhar na jaaye kahii.n

aarazuu hai ke tuu yahaa.N aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahii.n

jii jalaataa huu.N aur ye sochataa huu.N
raayegaa.N ye hunar na jaaye kahii.n

aao kuchh der ro hii le.n 'Nasir'
phir ye dariyaa utar na jaaye kahii.n


 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe


 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
gar ous mein tha bhi koi nukss acha lagta tha
kuch es tarah muje wo shakhs acha lagta tha

bas aik din muje dhaika tha aankh bhar ousne
phir aainey ko mera aakss acha lagta tha

wo aankhoon aankhoon mein es piyar se perhati thi
kitab e gham ka her ek dars acha lagta tha

kalam e yaar ki talkhee pe sochtey hi na the
kharam e yaar ka wo raakhs acha lagta tha

chura gaya hai gaya waqt zaiqay warna
hawaoon ka bhi lims acha lagta tha

 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Kal shab to asmaan pe nazara ajeeb tha
Taare to bohot the per ik taraa ajeeb tha
Aao sunaon uski tumhen daastan-e-ishq
Kuch iska tha qusor ya saraa naseeb tha
Taare to bohot the per ik tara ajeeb tha
Sab chaand the door k hum paas na jaen
Ager paas chale jaen to madham na perjaen
Ye soch ker sab chaand ke jate nahi the paas
Un sab se be-nyaz wo taraa ajeeb tha
Taare to bohot the per ik tara ajeeb tha
Anjaam-e-mohabbat wo apni jaanta to tha
Chanda ka ishq chandni se maanta to tha
Per ishq mai wo dil ka aisa hua ghulam
Khud apne hee haathon se bigara naseeb
Taare to bohot the per ik taara ajeeb tha
Lamha lamha chaand ke nazdeek wo gya
Khud apna husn apni jawani dubo gya
Aisi kari mohabbat ke mit gya wujood
Kyon sab se munfarid wo bechara ghareeb tha
Taare to bohot the per ik tara ajeeb tha !!!


 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
raat ki taNhayi me un aahatoN ki kashmakash,
kaisi ajeeb hoti hai in karwatoN ki kashmakash.

har anjuman adhoora hai, har mehfil akeli hai,
deedar ko tarasti, in chaukhatoN ki kashmakash.

na thikana hai koi bhi zinda lashoN ke liye,
yahi hai sisakte sunkate marghatoN ki kashmakash.

kai gehre sawaloN ka karwaaN ho jaise koi,
yuN meri peshani pe salwatoN ki kashmakash.

haadse to sabhi ne dekhe hoNge sadkoN par,
janta hai koi kya, jam ghatoN ki kashmakash.


 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Woh Keh Ker Chaley Itni Mulaqat Bohut Hey
Main Ney Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohut Hey
Aansoo Merey Tham Jayen Phir Shoq Sey Chaley Jana
Aisey Main Kahan Jao Gey Barsat Bohut Hey

 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Usnay kaha tu kon,main nay kaha hasrat teri..
Usnay kaha chahta hay kia,main nay kaha khidmat teri..
Usnay kaha dhekhta hay kia,main nay kaha soorat teri..
Usnay kaha mangta hay kia,main nay kaha kismet meri..
Usnay kaha khowahish hay kia,main nay kahachahat teri..
Usnay kaha kia mumkin nahi dunya main,main nay kaha qeemat teri..
Usnay kaha achi lagti hay kia, main nay kaha adat teri..
Usnay kaha dil main hay kia,main nay kah aqeedat teri..
Usnay kaha izhar kar paoo gay,main nay kaha juraat meri..
Usnay kaha pass hay kia,main nay kaha muhabbat teri..
Usnay kaha arzoo hay kia, main nay kaha rafaqat teri..
Usnay nay kaha kis cheez se dartay ho,main nay kaha nafrat teri..
Usnay kaha poojtay ho kia,main nay kaha soorat teri..
Unsay kaha dil hay pass,main nay kaha amanat teri..
Usnay kaha she pao gay tanay,main nay kaha yeh himat meri..
Usnay kaha bakhsh doon kia,main nay kaha ebadat teri..Usnay kaha is jurm ki saza paoo gay,main nay kaha voh sirf adalat teri..
Usnay kaha chahtay ho kia,main nay kaha sirf zarorat teri..
Usnay kaha dil main bsa loon tum ko,main nay kaha hay ijazat meri..
Usnay kaha pasnad hay kia,main nay kaha sadaqat teri..
Usnay kaha milnay se kiyon dartay ho,main nay kaha hay anookhi muhabbat meri



 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
kabhi khuwaboon k jungle mein
aakhaileypan k daldal mein
kisi sandle k saaye mein
kabhi badal ki chatri per
kisi din taeez barish mein
kabhi darya k dharey per
kabhi dukh k kinarey per
kabhi sahil pe likti hai
kabhi likh ker mittati hai
kabhi likhne se pehley hi
mitta ker haansne lagti hai
kisi din shaam se pehley
mittana bhool jati hai
tou sari raat roti hai

 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Ghutnoo pay ser jhukaaye, Hum rooye sari raat
Yadoon ka ghum utthaaye, Hum rooye sari raat

Himmat hi nahin chori tanhaiyon main jee lain
Waday na raas aaye, Hum rooye sari raat

Bheegi hui hain palkain or raat ja chukki hay
Taray na daykh paaye, Hum rooye sari raat

Kis oor say hay nikla yeh chaand baykhudi ka
Jugnoo bata na paaye, Hum rooye sari raat

Aik baar bhi na socha kay kya hay dil lagee sanum
Ghairoon say dil lagaaye, Hum rooye sari raat

Bheegay they barishon main kabhi is tarah nahin
Boondon nay situm dhaaye, Hum rooye sari raat

Qurbat kay jaam ko ab nosh kya karain gey
Hontoon ko see silaaye, Hum rooye sari raat

Jeenay ki sab umeedain he khaak hueen shaiki
Zindagee ki talab haaye, Hum rooye sari raat




 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
tere jalave ab mujhe har suu nazar aane lage
kaash ye bhii ho ke mujh mein tuu nazar aane lage

ibtadaa ye thii ke dekhii thii Khushii kii ek jhalak
intahaa ye hai ke Gam har suu nazar aane lage

beqaraarii barhate barhate dil kii fitarat ban gaii
shaayad ab taskiin kaa pahaluu nazar aane lage

Khatm karade ae 'Sabaa' ab shaam-e-Gam kii daastan
dekh un aankhon mein bhii aansuu nazar aane lage

 

sabha_khan40

TM Star
Jul 28, 2010
4,892
1,185
413
hmmmmm
Kal shab to asmaan pe nazara ajeeb tha
Taare to bohot the per ik taraa ajeeb tha
Aao sunaon uski tumhen daastan-e-ishq
Kuch iska tha qusor ya saraa naseeb tha
Taare to bohot the per ik tara ajeeb tha
Sab chaand the door k hum paas na jaen
Ager paas chale jaen to madham na perjaen
Ye soch ker sab chaand ke jate nahi the paas
Un sab se be-nyaz wo taraa ajeeb tha
Taare to bohot the per ik tara ajeeb tha
Anjaam-e-mohabbat wo apni jaanta to tha
Chanda ka ishq chandni se maanta to tha
Per ishq mai wo dil ka aisa hua ghulam
Khud apne hee haathon se bigara naseeb
Taare to bohot the per ik taara ajeeb tha
Lamha lamha chaand ke nazdeek wo gya
Khud apna husn apni jawani dubo gya
Aisi kari mohabbat ke mit gya wujood
Kyon sab se munfarid wo bechara ghareeb tha
Taare to bohot the per ik tara ajeeb tha !!!


 
Top