"SADAQA-E-FITR Ke Masail
-------------------------------------------
Kitna Kg Anaj dena chahiye?
Kya Paisa bhi de sakte hain Sadqa e Fitr me?
Kispe wajib nahi hai?








----------------------------------------
Sadqa-e-Fitr se muraad Maah-e-Ramadan ke ikhtetaam (end) par Namaz-e-Eid se pehle Fitrana ada karna hai.
Sadaqa-e-Fitr ka zmaqsad khud ko Rozon ke dauran kiye hue gunahon se paak karna aur Miskeenon ke liye khane ka intezaam karna hai.*
(Sunan Ibn Maaja-1827)
Is Sadaqe ko Rasoolullah ๏ทบ ne har Musalman Mard, Aurat, Bachche, Boodhe, Jawaan, Azad aur Ghulam par Farz qaraar diya hai.
(Sahih Bukhari: 1503)
Jiske Paas Us (Eid ke) din aur raat ke liye apni khuraak se zyada anaaj na ho to us par Sadqa-e-Fitr waajib nahi hai.
(Al-Mughni Ibn Qudama: 4/307)
Sadaqa-e-Fitr me Anaj hi dena Afzal hai, Paisa dena nhi
---------------------------
Sadaqa-e-Fitr ki miqdaar: Iski miqdaar 1 sa'a hai joki ghar ke har fard ki taraf se ada ki jaegi. Jadeed wazan ke mutabiq 1 Sa'a taqreeban 2.5 kg se 3 kg tak banta hai.
(Sahi Bukhari: 1503, 1506, 1508)
Jo cheez bataur Sadaqa-e-Fitr ada ki jaye woh khaane ka zariya ho. jaise ki Khajoor, jow, Gehoon, Paneer, Munaqqa waghera.
(Sahi Bukhari: 1503, 1506).
Note: Sadqa-e-Fitr me Jins (anaaj) ki zqeemat ada kar dena sabit nahi hai* isliye isse parhez karna chahiye. Kyunki Nabi Kareem ๏ทบ ke zamane me naqad qeemat bhi hua karti thi magar woh sadaqa-e-Fitr me jins (Anaj hi dete the) naki Naqad.
Ibn Taymiyah R.a. farmate hain _ "Sadaqa-e-Fitr Roz marrah ki khuraak se ada karna chahiye"
(Majmua Fatawa: 25/35-36).
Kya Paisa bhi de sakte hain Sadqa e Fitr me?
---------------------
Baad me Taba'een ke daur me Jins ke badle Qeemat dene ke Asaar milte hain.
(Dekhiye Musannaf Ibn Abi Shaybah : 10368, 10371)
Lihaza majboori ki halat me paise ki soorat me bhi Sadqa-e-Fitr diya ja sakta hai lekin *Afzal yahi hai ki jins se diya jaye.*
-----------------------------------------
Sadaqa-e-Fitr Eid ki Namaz se pehle ada karna chahiye.
(Bukhari-1503).
Lekin Eid se ek do din pehle bhi Yeh Sadaqa ada kiya ja sakta hai.
(Bukhari-1511)
Sadaqa-e-Fitr Musalman ki taraf se hi ada kiya jaega. Agar kisi ke walidayn (Parents) Muslim Na hon to unki taraf se ada nahi kiya jaega.
(Fathul Bari: 4/142)
-------------------------------------------











----------------------------------------







Sadaqa-e-Fitr me Anaj hi dena Afzal hai, Paisa dena nhi
---------------------------







Kya Paisa bhi de sakte hain Sadqa e Fitr me?
---------------------

(Dekhiye Musannaf Ibn Abi Shaybah : 10368, 10371)

-----------------------------------------





