Sargoshi...!

  • Work-from-home

diya ali

TM Star
Nov 23, 2010
1,104
661
1,013
Rawalpindi
Sargoshi...!
aaj phir waisa hi mausam hai jaisa us din tha jis din tum sai shanasai hui thi....waisi hi tez hawain hain phir chand nikla hai phir yaad nai dil par dastak di hai....mein cha kar bhi woh batain bhool nahi pai is mausam mein aik ajeeb sa sehar hai jo mujhe apni orr kheenchta hai..aaj bhi beikhtiyaar hawaoon sai batain karnai ka dil kiyai chand sai kuch poochnai ka dil kiya to yunhi bahar agai andar jaisai ghutan si ho rahi thi...yunhi bethai bethai janai kitnai hi pal tumhari soch ki nazar hogai kai achanak yun laga jaisai kisi nai pukara ho ..aik bauhat hi manus si awaaz ai "suno idhar dekho " samnai dekha to koi nahi tha mein nai samjha mera veham hai...phir kho gai...phir us nai pukara "suno kya sochti rehti hoon yun tanha hi " mein nai poocha kaun ho tum to us nai kaha "woh jisai soch rahi ho " aur hamesha aisai hi hota tha jab kabhi bhi tumhari yaad kai rang gehrai hotai thai tum yunhi mere samnai akar yehi kehtai thai kai kyon sochti rehti ho..... aur mein tum sai yehi kehti hoon kai soch par ikhtiyaar nahi hai ....
tum is baat ka kabhi jawab dai hi nahi pai na hi kabhi do gai mujhe pata hai bas muskura daitai ho....aur mujhe yun lagta hai jaisai is muskurahat mein sari baat kehdi ho tum nai...haan aisa hi hota hai tum aksar jab bauhat yaad atai ho to tumharai tasawur sai batain karti hoon aur tum yehi kehtai ho..."kyon yun udas hoti ho dekho to yahan hi hoon ....mujhko kyon dhoondti ho har soo mein to tumharai andar hoon bas jab yaad ai to pukarliya karo tumharai sath hoon " bas yunhi khayaloon mein batain karna bhi acha lagta hai yunhi bethai bethai peetai lamhoo ki sargoshiyaan sunna....bauhat hi apna sa ehsaas hai ye aur jantai ho tumhari aik kahi hui baat "yun socha mat karo udas mat hua karo" ye sargoshi har pal har lamha mere sath hoti hai

bas yunhi khayaloon mein muskurana acha lagta hai
 
  • Like
Reactions: hoorain and Ally

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313

lagta ha aapka tualaq mehkma'e mosmiyat se ha,
 
Top