sochta hun wafa pe ghazal likhun(25 ashaar)

  • Work-from-home

Bird-Of-Paradise

TM ki Birdie
VIP
Aug 31, 2013
23,935
11,040
1,313
ώόήȡέŕĻάήȡ
Assalamo alaikum TM

doston yeh ghazal to wahi hai jo mene contest mein share ki thi
per mene suna parha aur jaana hai ke eik ghazal ki aakhri had
hai 25 ashaar aur jab se mere ilm me yeh baat aaiy hai meri aarzu
tabhi se hai ke koi aisi ghazal likhun jis ke ashaa 25 hon aur
ALLAH ke hukm se do raaton ki mehnat baad mene yeh kar diya
apni us contest wali ghazal mein zyada nain faqat 15 ashaar add kiye:D

umeed hai aap subko pasand aayegi

here it iz


Sochta hoon wafa pe ghazal likhun
saath me teri jafa pe ghazal likhun

dekhein dunya ko kya bha jata hai
apni dua teri dagha pe ghazal likhun

kaise milti hai rone se raahat dil ko
ishq ke tarz e shifa pe ghazal likhun

hai bewafaiy hai gumrai bhi kaise
insaan ki har khata pe ghazal likhun

KHUDA bachaaye mujhe hasad se
mein har eik ke kala pe ghazal likhun

woh kaho likho to paghlon ki tarah
mein to har jagah pe ghazal likhun

qalam se kaghad dil se dharkan aur
nigah se uski nigah pe ghazal likhun

jiski duaon se barha mera darja
apni us pyari maa pe ghazal likhun

kehlaunga phir purani soch wala
jo tehzeeb o haya pe ghazal likhun

karo sansaar per thori deir baad ke
ishq ki taazi aah pe ghazal likhun

bahaar o khizan hain qisse purane
mein purdard fiza pe ghazal likhun

bezuban jalti jo manind e Chiragh
us zameen ki sada pe ghazal likhun

jisse lootta hai tu man o dhan aksar
teri us syaasi ada pe ghazal likhun

qalam bhi rone lag jaaye meri
agar mein teri ata pe ghazal likhun

ghareeb ho ke fikr e badshah karun
hun ameer to ghurba pe ghazal likhun

rahe mujh me deen ki bhi nishaani
apne pyaare KHUDA pe ghazal likhun

dekh dil e saada ki aarzu kehta hai
mohabbat ki inteha pe ghazal likhun

bin tajurba aaj koi ghazal ho jaaye
do hukm dil ki dawa pe ghazal likhun

majnoon pe sub ne likha yaaron
mein haal e laila pe ghazal likhun

jispe phira majnoon dil e laila liye
kyun na us sehra pe ghazal likhun

mujhe jihaalat ka fatwa mil jaayega
jo Mehboob ki raza pe ghazal likhun

wajah samajh aayegi khoon rezi ki jo
insan ki jang e ana pe ghazal likhun

karun koshish inhein RAB se darane ki
aaj qudrati waba pe ghazal likhun

bohot likh liya hum ne dunya mein ab
nidar ho ke dunya pe ghazal likhun

jo ChiragH ke bujhne ki bani sabab
aaj us ulfat ke hawa pe ghazal likhun

***S_ChiragH***
superb
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top