Tairay firak k lamhay

  • Work-from-home

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
tairay firak k lamhay shumar krtay huay
bikher chalay hain taira intezaar krtay huay

to main bhi khush hun koi us se ja k kh daina
agar wo khush hai mujhe beqarar krtay huay

tumhain khabar hi nahin hai k koi toot gaya
mahabaton ko bohat paidar krtay huay

main muskurata hua aainay main ubhroon ga
wo ro pray gi achanak singhaar krtay huay

mujhay khabar thi k ab laut kr na aaonga
so tujhko yad kiya dil pe war krtay huay

wo kh rahi thi k samandar nahin hain ankhain hain
main un main doob gaya aitbaar krtay huay

bhanwar jo mujh main pray hain wo main hi janta hun
tumharay hijr k darya ko paar krtay huay"
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
bohat bohat zbrdast

~~~shukriya~~~

hamarey saath share krney k liye. . . . .


umeed krtey hain k aap aisay hi hamrey saath share krte rahain gey . . .. . InshaAllah
 
Top