meray dil ne kaha mai unn chezon se mouhabat karon jinn se dosray logg nafrat krtay hen aur unn logon se dosti peda karon jinhain dunya malamat karti hai.
mery dil ne mujhy aagah kiya aur naseehat ki k soorat-o-rang k pardoon mai husnn ko talash karon.haan mery dil ne mujh se mutalbha kiya k har uss cheez purr apni nighain jamdoon jo badnuma khayal ki jati hai.yahan tuk k wo khubsoorat nazar anay lagy.iss se pehlay mujhy husnn dhooain k satoonoo k mabain aik jihlmilati hui shama dikhae deta tha magr ab dhooan gayab ho chuka hai aur ab mai shama ki loo k siwa aur kuch nahi dekhta.
mery dil ne kaha mai zyada Tareef se khud pasand aur malamt k khoof se azardah khatir na hon.uss din tuk mujhy apni saent garri k mutailq shooba tha lakin ab mujy ye pata chala hai k darahkt mousam bhar mai shagoofy peda karty hen.garmiyoon k mousam mai phaal latay hen aur khazan mai apny patay girra kar sardiyoon mai bilkul aaryan ho jaty hen aur un k dil mai na masrat peda hoti hai aur na khoof aur sharam
(Khalil Jibran)