Thak Gaya Main Karte-karte Yad Tujhko Ab Tujhe Main Yad Ana Chahta Hun

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
33
Pakistan.. karachi
Apne honton par sajana chahta hun
Aa tujhe main gungunana chahta hun
Koi ansu tere daman par gira kar
Buond ko mooti banana chahta hun
Thak gaya main karte-karte yad tujhko
Ab tujhe main yad ana chahta hun
Cha raha hai sari basti mein andhera
Raushani ho ghar jalana chahta hun
Akhri hichki tere zanon pe aye
Maut bhi main shair'rana chahta hun
 
Top