Tujh se mil k dil may rah jati hai armanon ki baat
Yaad rahti hai kise sahil pe toofanon ki baat
Wo to kahiye aj bhi zanjeer may jhankar hai
Warna kis ko yaad rah jati hai diwanon ki baat
Kya kabhi ho gi kisi ki tu magar ai zindgi
Jaan de kar hum ne rakh li tere diwanon ki baat
Bazm e anjum ho ke bazm e khak ta bazm e khayal
Jis jagah jao sunayi de gi insanon ki baat
Phool se bhi naram tar `wamiq` kabhi apna kalam
Aur kabhi talwar hum ashuftasamanon ki baat