tumhari CHUP hi achi thi

  • Work-from-home

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
Sab kuch main hi kehta hun, kuch tum bhi kaha karo. Kabhi kabhi jee karta hai kay jesay main tum ko saraahta hun wesaay hi tum bhi mujay saraaho magar ye kitna ajeeb hai kay hum dono bohat mukhtalif hain. Main humaisha bolta rehta hun aur tum humaisha chup rehti ho. Main bhi tumhain sunana chahta hun.

Mujay bohat hairani hui us din jab tum ne kaha kay main ajj kuch kehna chahti hun. Mera ji chaha kay zameen o asman rakas karnay lagain aur sab kuch jhoom jayay. Qk tum to meri baatoun ka jawab bhi bohat kam hi deti thi aur ajj tum khud keh rahi thi kay tum kuch kehna chahti hon.

Main puri tawaja se sunanay ko beqarar kay tum kuch kaho abb ..... .... .... ..... .................. .... .... kuch dair ki khamoshi kay baad tum ne kaha, "Mujay bhool jao qk hum kabhi do se aik nahin ho saktay, main kisi aur se mansoob hun".

Ye keh ker tum to humaisha kay liyay chali gai magar main sirf yehi sochta rehta hun abb tak kay tumhari CHUP hi achi thi.
 
Top