Ungli May Dil

  • Work-from-home

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Ungli May Dil

Pao k nahun say la ker sir k balo tuk hamary jisam ka aik aik hissa hamray liye Allah ki neemat hay. Yeh Allah Talah ka ehsany Azeem hay k Us nay hamay bay aib paida kiya. You tu hamary jisam ka her hissa apni apni jagah ehmiyat ka hamel hay lekin Dil aur Demagh ku body may wohi ehmiyat hamil hay jo kisi hakoomat may president aur prime Minister ki hoti hay. Jis tarah hamary ha kisi hakomat may khabhi president gale baa jata hay aur khabhi prime minister, bilkul isi tarah khabhi Dil ki bat mana perti hay aur khabi Demagh ki. Kuch log Dil say kam letay aur kuch Demagh say, aur kuch aisay hotay hay ju Dil aur Demagh dono say kam letay hay.

Dil aur Demagh ki maqboliyat ka andaza lagay jaye tu Dil, Demagh say kahi aggay hay. Payar o Mohabbat ka ziker chiray yeh nafrat ki baat ho, dil ka poora poora amal dakhel dhikhaye deta hay. Kisi nay Dil ku mandar ka derjah day diya, kisi nay Dil ku Aina bana ker is may “Yaar” ki tasveer sajah li. In sub say badr ker yaar logon nay tu yeh bhi keh diya k Dil ki Ankhen bhi hoti hay aur Insan Dil ki ankhon say dhaikh bhi sakta hay.

Hamari shyari ki kitabay Dil k ziker say bhari pari hay, Khabhi Dil milnay ki baathoti hay, Khabi Dil tootnay ka tazkara kiya jata hay, Khabhi Dil khoon k ansoo roota hay, Khabhi Dil Udas hota hay, Khabi Khush, Khabhi koe Dil k Hathoon majboor hota hay, Khabhi Dil kisi ku toot ker chahnay lugta hay, khabhi Dil tukray tukray ho jata hay , khabhi roota hay, khabhi macahl uthta hay, aur khabhi bagh bagh ho jata hay, khabhi koe Dil may Aa busta hay aur khabhi kisi ku Dil say nikal diya jata hay.

Filmi duniya may Dil hamesha say maqbool raha hay na sirf hamary ha bulk ay hamray neighbor mulk may aaye howay Dil k nam ka liye filamy cinema ki zeenat bunti rehti hay, jaisy Dil, Do Dil, Dilagi, Dil Dirya, Dil walay Dulhniya lay jaye gay, Dil Jalay, Dil he tu Hay, Dil ka kiya kasoor, Salam pay Dil Aa gaya, Dil hay K manta nahi, Dil aik Khilona, Dil nay Phir Yaad kiya, Dil kisi ka dost nahi aur Dil Dewana jaiasi bohat si filmay kamiyab qarar pae.

Hamary aisy bohat say filmi songs zubany zid per aam hay jin may dil ka ziker hota hay, Hamary sufiya karam k kalam may bhi Dil ka ziker kasrat say milta hay, fermatay hay:-

Dil Dirya Samanodron Dhongay
Kon Dila diya Janay Hoooooo
Masjed dhaway Mander Dhaway tay Dha tay ju kuch Dhainda
Ek bundiyan da Dil na dhawi mera Rubb Dila vich rehnda hoooooooo

Hamari singer freha perwaiz in sub say bhi agay nikal gaye aur Dil ku patang bana ker rukh diya, patang bazi per pabaundi lugnay say pehlay tuk TV ka koe bhi channel lagatay tu waha yehi kehti hoe dekhaie deti thi, “ Dil Howa Boo kata” aur yaar log jhoom jhoom jatay thay Halan K Dilk “Bo Kata” ho jaye tu phir insane ka sansoon ki door toot jati hay.

Hum nay apna her acha bura kaam Dil k nam laga diya hay jub k hamaray scientist aur doctors hazrat yeh sub nahi manay ku tayar q k in k mutabik Dil ka kaam siway blob phunchany k kuch bhi nahi, hamary pass aiasy aisy specialist majood hay ju chand second may ECG k zariyeh Dil ki halat hamary samany open ker k rakh detay hay. Dil ki angiography aur by pass in k liye mamool kakaam hay aur in k kehna hayk Dil ka kaam khoon ku pump kerna hay jub tuk dil puri tarah pump kerta hay aur apni duty nibhata hay tub tuk tu theek hay lekin jaisay he Dil apnay faryez may zara sib hi gatlat say kaam lenay lugta hay tu insane Allah ka, “Mehman” ho jata hay.

Chnad roz qabel TV per Dil k maher Dr Dil aur Dil ki amraz ka baray may baat cheet ker rahay thay. Hum sub nay bhi ba ghoor dhaikha aur suna, program khatam honay k baad Mera chota Beta Dil k mutlak apni aqal aur samajh k mutabik mujh say mukhtlif noeyat ka sawalat kerta raha, jin k baray may mujhey thoda bohat ilam tha ma usay bata raha. Kal ma study room may bhaitha kitab per raha tha k mera beta meray pass aya aur bola”PaPa…………….Papa……….MERA DIL UNGLI MAY AA GAYA” betay ki baat sun ker ma khilkhila utha q k Dil uchal ker halaq may tu atay suna tha ,”Ungli may Dil” pehli bar sunnay may aya tha. Ma nay usay pass bitha liya aur samjhaya beta,”Ungli mau Dil khabhi nahi hota” Dil ki jagah seenay may left may hay aur yeh her halat may wahi apni jagah per hota hay.

Papa app ku yaqeen nahi aata tu meri ungli per hath rakh ker dhaik lay Dhak Dhak ho rahi ha k Nahi, phir app ku khud yaqeen aa jaye ga…………….

Meray betay nay mujhey La jawab ker diya, meray Dil may Acahanak khayal aaya k shyed aisa he ho, ho sakta hay meray betay k zariyeh yeh bhi koe World Record bunnay wala ho k kisi ka dil seenay ki bejaye Ungli may Dil ho. Ma nay tasdeeq k liye forum us ki ungli apnay hath may li MAGAR YEH DHAIKH KER PRAISHAN HO GAYA K USKI UNGLI MAY RESHA PARA HOWA THA JIS KI WAJAH SAY US MAY CHIS CHIS HO RAHI THI JISAY WHO DIL KI DHUK DHUK SAMJH BHIATHA THA. Pal bher ku World Record qaem kernay ki ju khushi meray labo per aye thi Jhaag ki tarah bhaith gaye, ma nay bhujay dil k sath kitab side per rakhi aur usay doctor k pass lay gaya.
 

Saqib Khan

Newbie
Nov 10, 2010
33
5
0
Hans Mukh yaar bahut alla sharing karte hoo main tu new hoon is forum par lekin aur memberon kay sharing bhi main nay parhi hai sab say
Best sab say great sharing hoti hai aap ki
Sada Khush rahO
Aur hum say is forum par unhin achi achi shring karte raho

Thanks
 
Top