Idea Why?

  • Work-from-home

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
Mujhe aik bat ke samjh nahi aati k jab hum kisi thread main jatay hain aur humain boht sari posts ka reply karna parta ha,hum sab posts ka alag alag reply kartay hain,magar bad main wo sari posts aik he post main merged ho jati hain,why?
Doosray forums main to aisa nahi hota,sari posts seperate show aur seperate he count hoti hain aur hona b aisay he chahyay,
aapka kia khiyal ha?
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
  • Like
Reactions: Detective

Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
hum kia kahen @Don ko solid reason chahiy .....................ab jo in k kheyal main solid hai wo koi de to bat bany ....is pe pehly b bat ho chuki hai sab ki but koi SOLID REASON nae de saka ab ap de k dekhen maybe:)
solid reoson to ma ne ooper dee ha k jab koi b different persons ko alag alag quote kar raha hota to uss k replies b alag alag show honay chahyain,mery uss post k bad @Don ne reply he nahi kiya,
 
  • Like
Reactions: whiteros

whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
solid reoson to ma ne ooper dee ha k jab koi b different persons ko alag alag quote kar raha hota to uss k replies b alag alag show honay chahyain,mery uss post k bad @Don ne reply he nahi kiya,
chalen dekhty hain k admin ko wo SOLID lgat hai k nae ...........wese aesy bhi koi zeyada prob to nae hai ......ya shayad main kam he post krti hun tooooooooo :p
 
Abid Mahmood

~I AM ANTI ESTABLISHMENT~
Super Star
Sep 22, 2012
6,908
4,390
1,313
chalen dekhty hain k admin ko wo SOLID lgat hai k nae ...........wese aesy bhi koi zeyada prob to nae hai ......ya shayad main kam he post krti hun tooooooooo :p
ziada posting karnay walon ko ziada problem feel hoti ha,yehi waja ha k sab members even mods b merged system k against hain,
 
whiteros

'"The queen of kindness''
Super Star
Dec 20, 2011
10,936
3,866
1,313
ziada posting karnay walon ko ziada problem feel hoti ha,yehi waja ha k sab members even mods b merged system k against hain,
bat to thik hai k samajh nae ati or time bhi lagta hai dekhne main phir reply bhi prob hoti hai :( ab admin ji se kon matha khapay @RedRose64 ap he kuchh solid reasons den na admin ji ko @Abidi ab ise zeyada kia ho sakta hai:confused::)
 
  • Like
Reactions: Abidi

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
lol pehle to normal he posting ho rahi thi.. for sure Don ne kisi solid reason ki waja se double posts ko merge kia ha.. so better yei ha ap sab unhe convince karain coz ye sab options unhe k under hain :)
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
solid reoson to ma ne ooper dee ha k jab koi b different persons ko alag alag quote kar raha hota to uss k replies b alag alag show honay chahyain,mery uss post k bad @Don ne reply he nahi kiya,
Sorry for later respond.
Even though post merged hoti hai laykin har tamam replies separate hote hain ek hi post may... and kissi bhi reader ko koi mushkil nahi hoti koi bhi baat smajhne may... Post merge ka sirf ek nuksaan hai wo yeh k POST COUNT increase nahi hoti..

Post Merge system setup karnay k bahut reasons hain.. TM k zada tar users Pakistan say hain and Pakistan may filhaal internet itna powerful nahi is lie hum nay jis terhan TM ko design kia hai us say user ko kam say kam clicks or page reload ya change karna pare... ta k user kam say kam time may zada say zada kam kar sakein.
Agar ek user ko 10 logo ko reply karna hai to ek hi user ki post poray ek page par show hogi or agar kissi dosray user ko us user ki batein pasand nahi to wo majbooran ek page agay berhay ga.... laykin agar ek user ki tamam post sirf ek hi post may add ho gaein is terhan ek page par ap ko different logo k views mileingay or sath sath kam say kam page ko change karna pare ga..

is k ilawa jab kabhi koi advertising ya spamming ki niyat say ata hai yeh option us ko bhi discourage karta hai.

is k ilawa akser user Mobile phone say browsing karte hain, or un ko bhi kam say kam page reload karna pasand hota hai..

and then TM par writer say zada readers hote hain .. or yeh options readers k lie best hai. k wo ek hi page may zada say zada read kar sakein.
also akser user new post create karte sirf or sirf users ko tag karnay k lie jo k taqreeban waste of post hai... is lie yeh system us post ko bhi merge kar k space save karta hai...

I hope you have got your answer by now, if not then please don't hesitate to continue this discussion.
 
first of all,I like ur behave as admin,ma ne jab se TM join kiya ha ye dekha ha k yahan admins nd mods barray thanday dimagh se members ke bat suntay hain aur boht achay tareeqay se answers detay hue healthy discussion ko encourage kartay hain,shied yehi waja ha k aj kal kisi forum main users ka itna rush nahi dekha jitna yahan,ma ne kuch forums join kar k chhor diyay,maza nahi aaya,lekon yahan mera dil lag gaya ha,boht maza aa raha ha,
back to topic...jee aap ke sari batain mery samajh main aa gai hain,aap ne bilkul solid reasons dee hain,lekon har tasweer k 2 rukh hotay hain..ab dekhain k aap ne merged system users ke sahoolat k lie banaya ha,lekon users he iss ko pasand nahi kartay,aap dekh lain k iss thread main b kisi 1 member ne b iss k haq main reply nahi kiya,meray khiyal main kisi b member ko posts number increasing na honay se koi masla nahi,masla siraf yehi ha k jab koi kafi dair bad online hota ha aur uss ne boht saray logon ko alag alag replies karni hoti hain to uss ko merged system ke waja se boht bad mazgi feel hoti hain,ye ma ne apna siraf experience bataya ha,ho sakta ha doosray members ko kai aur problems b feel hoti hon,iss k lie mery tajweez ye ha k aap aik poll banaaen,jahan members merged system k haq main ya iss k agains apnay vote cast karain aur sath reasons b dain,
umeed ha aapko ye idea pasand aaey ga,thanks.
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Thanks for you kind words its our honor to have you here as well.
Now, I think agar koi member is ko like nai karta to reason post increase na hona hai. kahi na kahi kuch threads aysi hoti hain jahan alag alag post create karna ka sense banta hai wo sections minority may hain. Akser post creator ko zaroorat parti hai k wo achi layout k lie kuch material alag post may rakhe is lie post starter ko is baat ki ijazat hai k wo ek sath post 1 and 2 create kar sakta hai but bad may thread starter ki post bhi merge hongi jab thread discussion may convert ho jati hai...
Take a look around bahut sari aysi post hain jahan user sirf apna jawab ek smiley say dena pasand karte hain or KhudaNa Khasta agar us user ko ek sath 10 logo ko reply dena pare to.... its a mess !!!

Anyways, I will (try my best) to keep your suggestion in mind. Hum hamesha TM ko (major)upgrade say pehle survey or polling ki jati hai. jis say user say pata chalta hai k user ko kia pasand hai kia nahi... I will try to put this question in next survey form. InshAllah....

Till then if you have anything to say then please create another thread and I will be happy to assist you.
Regards,
 
zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
@Don

ager post merge honey ki limit rakhi jaey jaey 3 aik sath post merge ho jaey aur 4th post alaihda ho aur us mai bhi 3 post merge ho.......mutlub 2 post mai 6 post merge ho sakey,,,,,

kyon k bohot zyada reply hotey hai aur post bohot zyada lambi ho jati hai merging system sey,,,,,,,,:)
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh
Top