aata hai yaad mujhko guzraa huaa zamaanaa
vo baaG kii bahaarein vo sab ka chah-chahana
aazadiyaa.N kahaa.N vo ab apne gho.Nsale kii
apani Khushi se aana apani Khushi se jaanaa
lagtii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam
shabnam ke aa.Nsuuo.n par kaliyo.n kaa muskurana
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa