Zamee'n pay chal na saka, asmaan se bhi gaya,
katta k parr wo parinda uraan se bhi gaya,
tabah kar gai pakkay makaan ki khwahish,
main apne gaao'n k kachay makaan se bhi gaya,
bhulaana chaha, to uski bhi inteha kar dee,
wo shakhs ab mere wehm-o gumaan se bhi gaya,
kisi k haath ka nikla hua wo teer hon main,
hadaf ko choo na saka, or kamaan se bhi gaya.