Yeh Maah e Muharam Hai Yeh Ayaam e Azaa Hai

  • Work-from-home
Yeh Maah e Muharam Hai Yeh Ayaam e Azaa Hai,
Maatam Yeh Muhammad Ke Nawase Ka Bappa Hai,

Is Maah Main Looti Gayi Zohra (A.S) Ki Kamaayi
Is Chand Ne Sughra (A.S) Ko Khabar Jaake Sunaayi
Weeran Madina Hai Basi Karb o Bala (Karbala) Hai
Matam Yeh Muhammad Ke Nawase Ka Bappa Hai.

Is Maah Main Saadat Ne Din Kaise Guzaare
Masoomon Ko Paani Na Mila Nahar Kinari
Is Maah main Khoon Aal e Muhammad ka Baha Hai
Maatam Yeh Muhammad Ke Nawase ka Bappa Hai.

Kia Hoosle The Maayon Ke, Kia Sher The Bache
Woh Maqsad e Zohra (A.S) The, Woh Haider (A.S) Ke Irade
In Maayo aur Bachon ke Khon Se Bani Khaak e Shifaa Hai
Maatam Yeh Muhammad Ke Nawase Ka Bappa Hai.

Woh Aun o Muhammad, Ali Asghar, Ali Akbar
Woh Qasim e Naushaa Woh Abbas e Dilawar
Maqtal Inhi Shahzadon ke Zakhmo Se Sajja Hai
Matam yeh Muhammad Ke Nawase ka Bappa Hai.

Jab Chand Muharam Ka Nazar Aata Hai Humko
Sajta Hai Aza Khana Tou Yaad Aata Hai Humko
Is Chand Main Khoon Aal e Muhammad ka Bahaa Hai
Maatam Yeh Muhammad Ke Nawase ka Bappa Hai.

Aashoor Ka Din Bhool Na Paayega Zamana
Loota Gaya Us Roz Muhammad Ka Gharana
Us Roz Se Duniya Main Bichi Farash e Azaa Hai
Maatam Yeh Muhammad Ke Nawase Ka Bappa Hai.

Ho Sarwar o Rehan Shanawar Ke Ali Jee
Hai Wirse Main Mili Naukari Hussain Ibn e Ali Ki
Awaaz o Qalam Dono Isi Darr Ki Atta Hai
Maatam Yeh Muhammad Ke Nawase ka Bappa Hai.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top