Zamee’n pe Murdey

  • Work-from-home

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Zamee’n pe Murdey



Baaz Chehroo’n Main Allah Itni Kashish Rakhta Hey K Lakh Koshish Kro K Na Daikhain Ye Sahi Nahi Mager Nigah Khud Ba Khud Uth Hi Jati Hey, Wo Bhi Aisi Hi Thi Sub Se Alag, Khoobsurat Aur Ek Dum Munfarid,Abhi Main Us K Seher Main Gum Hi Tha K Kisi Ne Is Zor Se Koni Mairi Pasliyoo’n Ma Mari K Mairi Cheekh Hi Nakal Gai,Be Ikhtiyar Main Ne Ghussey Se Braber Main Daikha Mairi Class Fellow Kiran Khari Thi Boli Insan Bano Ziyadha Na Ghooro Usey Kyoo’n Khawateen Se Mar Khaney Petuley Ho,Mai'n Ne Pocha Kon Hey Wo Pari Paiker ,Wo Boli Mariam Hey Us Ka Naam Aaj Kal Haqooq-E-Niswa’n K Hawaley Se Is Ka Buhat Naam Hey Aur Jo Khawateen Ka Izhdiham Tum Daikh Raho Ho Na Ye Usey Hi Sunney Aaye Hain

Abhi Hum Guftago Main Masroof Hi They K Wo Mike Pe Aagai Us Ki Awaz Bhi Us Ki Trha Khobsurat Thi Ya Phir Mujhey Hi Us Ki Her Ada Bha Rahi Thi Main Kuch Yaqee’n Se Keh Nahi Sakta Aaiye Aap Ko Bhi Sunatey Hain Wo Kia Keh Rahi Hey
Wo Keh Rahi Hey ” Yaha’n Bari Bari Tanzimai’n Hain Aur Ek Se Ek Khawateen Hain Jo Khawateen Ki Aazadi K Liye Sergarm Hain Mager Taqreeroo’n Aur Tasveeroo’n Aur Hamari Mazlomiyet,Bebasi Aur Bekasi Dunya Ko Dekha K Apni NGO K Liye Imdad Lainey Se Ziyadha Nahi Kia Kisi K Pas Ye Data Mojod Hey K Sale—Guzishta Main Kitni Khawateen Ney Baivgi Ki Chader Orh Li Kitney Bachey Yateem Huwey,Tras Khaney Aur Izzat Dainey Main Farq Hota Hey Hum Tu Wo Hain Jin Pey Jib Bhi Is Muashrey Main Kisi Ney Nigah Dali Tu Ya Tu Hawis Ki Dali Ya Taras Ki Dali,Hum Khatey Hain,Peetey Hain,Boltey Chaltey Hain Mager Hum Zindha Nahi Hum “Zami’n Pe Murdey” Ki Trha Hain Jis K Barey Main Log Jald Hi Bhool Jatey Hain,

Hamri Maa Benai’n Jub Apney Baitoo’n Aur Bhaiyoo’n K Liye Rishtey Dhondney Nikalti Hain Tu Wo Kabhi Kisi Baiva Ko Nahi Daikhti’n Chahey Wo Kitni Hi Khobsurat,Ba Ikhlaq Aur Ba Salahiyet Kyoo’n Na Ho Us K Oper Zindagi Tamam Khushya’n Haram Ho Jati Hain Kia” Us Ki Awaz Bherra Gai Hey,Aur Wo Khamoosh Ho Gai Hey Shayed Apni Aankhoon Main Aaney Waley Aansoo’n Ko Peeney Ki Koshish Ker Rahi Hey, Us Ney Chock Ki Taraf Ishara Kertey Huwey Kaha” Haa’n Yehi Wo Jagha Hey Jaha’n Aaj Se Do Sal Qabl Maira Shoher Kisi Injani Goli Ka Shikar Huwa Usey Tu Ye Bhi Nahi Pata Tha K Usey Kyoo’n Mara Gaya Wo Tu Mairi Liye Gajrey Lainey Nikla Tha K Usey Gulab K Pholoo’n K Gajrey Mairey Hathoo’n Main Buhat Achey Lagtey They,

Main Wo Lamha Kabhi Faramosh Nahi Ker Sakti Jub Main Ney Gher K Darwazey Pey Usey Hathoo’n Main Surkh Gulab K Gajroo’n Ki Jagha Kuch Logoo’n K Hathoo’n Main Khoon Se Surkh Kaproo’n Main Us Ki Lash Daikhi Aur Phir Us Din Se Mairi Tamam Khushya’n Khatem Ho Gai’n Aisi Main Akaili Nahi Aisi Khawateen Hum Her Saal Hazaroo’n Ki Tadad Main Taiyar Kertey Hain,In Dehshat Gerdoon Ki Samajh Main Ye Kyoo’n Nahi Aata K Is Firing Ki Zed Main Un Ki Apni Maa’n Aur Behan Ka Suhag Bhi Tu Aasakta Hey Aur Phir Un Se Barey Dehshat Gerd Tu Hamarey Itraf K Log Hotey Hain Wo Dehshat Gerd Tu Hamin Sirf Ek Bar Martey Hain Mager Ye Hain Ta Zindagi Martey Hai’n Kisi Ko Hamari Khushi Ka Koi Khyal Nahi Hota Kisi Ko Na Hamari Aahai’n Sunai Daiti Hain Na Hamri Rohoo’n Ki Chikhain Mujhey Is Muashrey Se Koi Umeed Nahi Mager Main Apney Rab Se Na Umeed Nahi Wo Hamarey Liye Wo Tulo-E Seher Zaror Laye Ga Hum Jis K Intizar Main Hain.”

Wo Chali Gai Main Jo Us Ki Taqreer Sey Pehley Us K Husn K Seher Main Griftar Tha Ye Jan K K Wo Ek Baiva Hey Ab Is Seher Se Baher Aa Chukka Tha K Aakhir Main Bhi Tu Aap Logoo’n Main Se Hi Ek Hoo’n Koi Juda Tu Nahi.

Premiums Politics Juniors Platform This Post Bridal Sets Media Player Bookmark
زمیں پھ مردے



بعض چہرو ں میں الله اتنی کشش رکھتا ہے ک لاکھ کوشش کرو ک نہ دیکھیں یہ سہی نہیں مگر نگاہ خود با خود اٹھ ہی جاتی ہے , وہ بھی ایسی ہی تھی سب سے الگ , خوبصورت اور ایک دم منفرد ,ابھی میں اس کے سحر میں گم ہی تھا ک کسی نے اس زور سے کوہنی میری پسلیوں میں ماری کے میری چیخ ہی نکل گئی ,بے اختیار میں نے غصّے سے برابر میں دیکھا میری کلاس فیلّو کرن کھڑی تھی بولی انسان بنو زیادھ نہ گھورو اسے کیوں خواتین سے مار کھانے پے تلے ہو ,میں نے پوچھا کون ہے وہ پری پیکر , وہ بولی مریم ہے اس کا نام آج کل حقوق نسواں کے حوالے سے اس کا بہت نام ہے اور جو خواتین کا مجمع تم دیکھ رہے ہو نہ یہ اسے ہی سننے آئ ہیں


ابھی ہم گفتگو میں مصروف ہی تھے ک وہ مائک پے آگئی اس کی آواز بھی اس کی ترہا خوبصورت تھی یا پھر مجھے ہی اس کی ہر ادا بھارہی تھی میں کچھ یقیں سے که نہیں سکتا آئیے آپ کو بھی سناتے ہیں وہ کیا که رہی ہے


وہ که رہی ہے ” یہاں بڑی بڑی تنظیمیں ہیں اور ایک سے ایک خواتین ہیں جو خواتین کی آزادی کے لئے
سرگرم ہیں مگر تقریروں اور تصویروں اور ہماری مظلومیت ,بےبسی اور بیکسی دنیا کو دیکھا کے امداد لینے سے زیادھ نہیں کیا کسی ک پاس یہ ڈاٹا موجود ہے کے سال گزشتہ میں کتنی خواتین نے بیوگی کی چادر اوڑھ لی کتنے بچے یتیم ہوے ,ترس کھانے اور عزت دینے میں فرق ہوتا ہے ہم تو وہ ہیں جن پے جب بھی اس معاشرے میں کسی نے نگاہ ڈالی تو یا تو ہوس کی ڈالی یا ترس کی ڈالی ,ہم کھاتے ہیں ,پیتے ہیں ,بولتے چالتے ہیں مگر ہم زندھ نہیں ہم “زمیں پے مردے ” کی ترھا ہیں جس کے بارے میں لوگ جلد ہی بھول جاتے ہیں ,


ہماری ماں بہنیں جب اپنے بیٹوں اور بھائیوں کے لئے رشتے ڈھونڈنے نکلتی ہیں تو وہ کبھی کسی بیوہ کو نہیں دیکھتیں چاہے وہ کتنی ہی خوبصورت ,بااخلاق اور باصلاحیت کیوں نہ ہو اس کے اوپر زندگی کی تمام خوشیاں حرام ہوجاتی ہیں کیا؟ ” اس کی آواز بھرا گئی ہے ,اور وہ خاموش ہو گئی ہے شاید اپنی آنکھوں میں آنے والے آنسووں کو پینے کی کوشش کر رہی ہے , اس نے چوک کی طرف اشارہ کرتے ہوے کہا ” ہاں یہی وہ جگہ ہے جہاں آج سے دو سال قبل میرا شوھر کسی انجانی گولی کا شکار ہوا اسے تو یہ بھی نہیں پتہ تھا کہ اسے کیوں مارا گیا وہ تو میرے لئے گجرے لینے نکلا تھا که اسے گلاب که پھولوں کے گجرے میرے ہاتھوں میں بہت اچھے لگتے تھے ,

میں وہ لمحہ کبھی فراموش نہیں کرسکتی جب میں نے گھر کے دروازے پی اسے ہاتھوں میں سرخ گلاب کے گجروں کی جگہ کچھ لوگوں کے ہاتھوں میں خون سے سرخ کپڑوں میں اس کی لاش دیکھی اور پھر اس دن سے میری تمام خوشیاں ختم ہوگیں ایسی میں اکیلی نہیں ایسی خواتین ہم ہر سال ہزاروں کی تعداد میں تیار کرتے ہیں ,ان دہشت گردوں کی سمجھ میں یہ کیوں نہیں آتا کے اس فائرنگ کی زد میں ان کی اپنی ماں اور بہن کا سہاگ بھی تو آسکتا ہے اور پھر ان سے بڑے دہشت گرد تو ہمارے اطراف کے لوگ ہوتے ہیں وہ دہشت گرد تو ہمیں صرف ایک بار مارتے ہیں مگر یہ ہمیں تا زندگی مارتے ہیں کسی کو ہماری خوشی کا کوئی خیال نہیں ہوتا کسی کو نہ ہماری آہیں سنائی دیتی ہیں نہ ہماری روحوں کی چیخیں مجھے اس معاشرے سے کوئی امید نہیں مگر میں اپنے رب سے ناامید نہیں وہ ہمارے لئے وہ طلوع سحر ضرور لاے گا ہم جس کے انتظار میں ہیں .”

وہ چلی گئی میں جو اس کی تقریر سے پہلے اس کے حسن ک سحر میں گرفتار تھا یہ جان کر کہ وہ ایک بیوہ ہے اب اس سحر سے باھر آچکا تھا که آخر میں بھی تو آپ لوگوں میں سے ہی ایک ہوں کوئی جدا تو نہیں


 

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
Beautiful tehreer

Allah Talah hum Sub ku apni Khusiyaan apnay payro k sth bhantnay ki toufeeq atta fermaye aur musharay ma aisy janam laiany walay dehssht gerdon say nijat dilye jin ki goli k samnay rishay koe manai nahi rakhtay
 
  • Like
Reactions: Syed Sohail Akhter

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hmmm bohat hi eham point ki taraf ishara kiya hay
itne zabadrast muqarrar aaj k dor may hain sirf taqreeron se kuch hona hota to bohat kuch sawar jata!
sirf taqreerain hain ,,amal k waqt sab yhi sochte hain jo end may aap ne likha!

AAkhir main bhi to aam insa hun, koi farishta to nhi, koi aala zarf to nhi etc.

Farishtey se behtar hay insan hona
magar is may lagti hay mehnat ziada!

taqreerain akrte hain log to tonsils fail akr laite hain itni hi mehnat kuch amal may karain to koi faid bhi ho!

bohat zabardast likha aap ne :-bd
Keep it up!
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
Mashallah Bohat acha likha aap nay..! bohat hi hasas maslay pe qalam uthaia..!

aap nay apni tahreer main aak Bewa ki baat ki Laken yahan tu aak un-married girl ki shadi bhi bohat mushkil ho chuke hay, Jab aak larkay k ghar ki aurtain us k liye dulhan dhOndnay nikalti hain tu un ka mizaaj aasman pe hOta hay larki main woh aaib nikalay Jatay hain Jo us main Hotay hi nahi yah phir Jis pe us ka ikhtyar nahi hOta, woh sanwali hay, Chotay Qad ki hay, kam perhi likhi hay, Moti hay aur us k Facial features ko bhi tanz aur mazaq ka nishana banaia Jata hay aur phir bohat aasani aur dharalay se inkaar ker dia Jata hay k "Humain Larki Pasand nahi aaie"

Jis Society main aak un-married larki ka rishta dhOndna Muhaal ho Jaye wahan BEWA yah Talaq Yafta aurat kis Bhalae ki Umeed rakhay..?
 

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Beautiful tehreer

Allah Talah hum Sub ku apni Khusiyaan apnay payro k sth bhantnay ki toufeeq atta fermaye aur musharay ma aisy janam laiany walay dehssht gerdon say nijat dilye jin ki goli k samnay rishay koe manai nahi rakhtay
Tehreer pasand kerney k liye buhat shukria Hans Mukh
tumharey comments k jawab mai'n mujhey "Ameen" se behter
koi lafz mil nahi'n raha,Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey
Ameen
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
hmmm bohat hi eham point ki taraf ishara kiya hay
itne zabadrast muqarrar aaj k dor may hain sirf taqreeron se kuch hona hota to bohat kuch sawar jata!
sirf taqreerain hain ,,amal k waqt sab yhi sochte hain jo end may aap ne likha!

AAkhir main bhi to aam insa hun, koi farishta to nhi, koi aala zarf to nhi etc.

Farishtey se behtar hay insan hona
magar is may lagti hay mehnat ziada!

taqreerain akrte hain log to tonsils fail akr laite hain itni hi mehnat kuch amal may karain to koi faid bhi ho!

bohat zabardast likha aap ne :-bd
Keep it up!
hoorain mairi behen tum ney is tehreer ki rooh ko samjha hey
sahi kaha hey tum ney keh bina amal k kuch bhi nahi'n ho sakta
tum ney mairi hosla afza ki is k liye mai'n buhat mashkoor hoo'n
Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
 
  • Like
Reactions: hoorain

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Mashallah Bohat acha likha aap nay..! bohat hi hasas maslay pe qalam uthaia..!

aap nay apni tahreer main aak Bewa ki baat ki Laken yahan tu aak un-married girl ki shadi bhi bohat mushkil ho chuke hay, Jab aak larkay k ghar ki aurtain us k liye dulhan dhOndnay nikalti hain tu un ka mizaaj aasman pe hOta hay larki main woh aaib nikalay Jatay hain Jo us main Hotay hi nahi yah phir Jis pe us ka ikhtyar nahi hOta, woh sanwali hay, Chotay Qad ki hay, kam perhi likhi hay, Moti hay aur us k Facial features ko bhi tanz aur mazaq ka nishana banaia Jata hay aur phir bohat aasani aur dharalay se inkaar ker dia Jata hay k "Humain Larki Pasand nahi aaie"

Jis Society main aak un-married larki ka rishta dhOndna Muhaal ho Jaye wahan BEWA yah Talaq Yafta aurat kis Bhalae ki Umeed rakhay..?

Hooria mairi behen tum ney apne comments mai'n jo kuch kaha us se mai'n 100% muttafiq hoo'n bilkul aisa hi hota hey jaisa k tum ney baya'n kia,laikin mairi ye tehreer ek dosrey issue k hawaley se likhi gai hey laikin jis masley ki nishan dahi tum ney ki hey us k hawaley se bhi Inshallah tun jeld mairi ek nai tehreer daikho gi,mairi is tehreer ko tum ney pasand kia us k liye buhat shukria,Allah tumhai'n hamaisha khush aur salamet rakhey,Ameen
 
Top