Walikum As salam.....mera dosra khat bahaar kai liye
ASALAM o alaikum
BAHAAR
Kya haal chaal hain ap kai umeed hai ummed hai ap kai name ki tarah ap ki zindage mai bhe bahaar ka sama hoga........bahaara bahaara dil tu hua phele bar raiii...(opss sorry control yaar db)
haaan tu mai khe raha tha waise tu ap bolte bohat hain and na bolen tu sb bol parten hain
ise achi qualities ki wajh sai ap nae sb kai dilun mai jagah bana li hai (bus bhe karo db aj jume ko tu jhhot na bolo).......
sorry sach nikal raha tha
kahen bar maine sb ko khete suna hau hazarun phool bar sao bahaar aye hai leken point ti be noted aj tak kise nae barsae nahe hain
Sun HAI ap shayari bhe karten hain zara hum bhe kabhi wo wala faraz ka shair sunae mere khuwabo mai jo aye faraz use kaho mere neend na churai aur wo wala bhe suna daina sing one poetry get 1 free wala hai........jb mai new aya tah tb ap ka wo shair bohat pasand aya tha dil mai mere hai dard e disco farazana ap kai pyaar ki ek nazar chahiye
waise ap sbb ki fav hain but khush h na hona kabhi kabhi hum mazaq bhe acha karten hain
chalein hamara khat tu yehi par khatam hota hai ummed hai ap ko pasand nahe ayega aur ap huh bhe nahe kahenge
aur hansa bhe howa tu zaiyada mat hansiyega warna hume lage ga ap humre khat par hans rahe hain
khush rahen aur chup rahen
ap ka apna db
kuch bura laga tu ........ache baat hai yehe hum chahte the
Shukriya janab k apne hume yaad kiya...Hum bafaz le talaaa zindagi ko guzar rahe hain aur apse bhi umeed karte hain k zindagi apka bhi ek kuntal bojh lekar apko guzaar rahi hogi...apki inayat k liye tah edil se mamnoon...
Aaapka tauheen nama parhkar dil bagh bagh hogaya,balkay patta patta jhaaron se gir gaya aur jungle ujar gaye,,kaali andhiyan chalne lagin..
Apka andaaz e bayan chahchahati chiryon ka chahchahana band karde,jharnon ka bahna rok de..apke lafzon se chand apna haseen chehra badalon ki ouat me chupa le...Gharz k apke alfaaz kaiyenat ko milya met karden...{)ooo(}
Ye parhkar bahut khushi hui k apne meri shayeri ko saraha hai aur yh ap jaise aaqil o danish ki firasat hi ahi jo mere sheron ko samjh paya hai....Nahi janab apke khat ka kya bura manna...haqeeqat to humesha karwi hoti hai agar sacchayi bayan hoti to bura lagta magar apne yahan mubalegha araayi ka jo record qayam kiya hai wo TM ki tariq me apni misal ap hai..{P)}
Anewale dino mei apse aise hi chand khutoot ki umeed rakhti hun balkay mei sar e raah ankhen bicahyi rahungi aur meri nazren namaabar par hongi k kab wo apka javab nama mujh tak pahunchayga..
ek baar phir mujhe khat likhne ka shukrya..
apne ahl e khana ko, apni ahliya aur bacchon ko meri taraf se dua salam..
javab ki muntazir...
Duago,
Bahaar