Aapka Manzar Aapki Kahani (4th july 2012)!

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
alryt here's my sharing...{(popcorn)}
umeed krti hun theek hogi :s
first tym likhi ae..kch ghlti waghaira hui toh​
.​
.​
.​
.​
.​
.​
mjhy mat batana bas ignore maar dena :p
smjh gye na??? :-?
wyse is kahani ki kahani SWINE FLU pe mubni hy {(popcorn)}
cuz ksii zamane mein isne bahut wehshat phelayi thi​
aur kafi deaths bhi hui thi is ki wajah se :mad:
" AAINA "
Bheegi hui shaam ki dehleez pe bethy
dil k sulagny ka sabab soch rhy hyn
Aaj bhi Rubab apne ma'amul k mutabiq ghr k kaam kaaj khatam kr k dehleez pe aa kar bth gyi thi.
yeh woh dehleez thi jisko rubab ne kbhi hanste muskurate Umar k saath paar kiya tha.
magar aaj woh ankhon mein "umadne ko tayyar" dirya liye aur hathon mein apni "kismat si siyah" qalam liye
apni pagal nazron ko markaz pe lane ki nakaam koshish mein mashgool thi ke achanak andar aahat hui...aur rubab chonk si gayi woh bhaagti hui kamre ki taraf gyi aur roti hui Amna ko apne gale se lga kr zor zor ki rone lagi.
jane kiya darr tha jo usy andar hi andar khaya jata tha...!
aur rubab ka khof koi chota mota khof nahin tha. usy khof tha k uske marne k baad uski masoom - loh beti ka kiya hoga?
jab uske andar gardish krti hui uski rooh parwaz kar jayegi..?!
uski beti bhi agar usi ki tarha tanhayi ka shikaar hogyi toh?
Rubab apne maa baap ki ekloti aulad aur ladli aulad thi...woh ek honahar , khush - mizaaj aur jld dil-monh lene wali magar ziddi larki thi...
magar yeh sari khasusiyat us mein shaadi se pehle theen ..shaadi k baad woh us khamosh dirya ki manind hogyi jo apne andar hazaron raaz dubaye aur lakhon toofan liye kinaron se takrata rehta hy.. magar akhir mein naraz hi wapis laut jata hy.
Rubab ne do saal pehle pasand ki shaadi ki thi .. magar maa baba k khilaf ja kr nahin balke unse zid kr k , unhen mana k..
shaadi k baad rubab englistan (ENGLAND:-ss) shift hogyi...magr do saal baad us pe qehar tb toota jab usy pta chala k woh SWINE FLU (ab iski urdu mjhy nhin aati srry :-ss) jyse khatarnak jaan-lewa marz mein mubtila hy.
Yeh baat jab umar ko maloom hui toh usne Rubab se duri baratna shuru krdi..woh uske sath aise paesh ata tha jyse ..
khair..yeh wohi umar tha jisne chand jhooty lafzon k sahare bholi rubab ka dil jeeta tha.. aaj jab use kisi k saath aur khuloos ki sachi zrurt thi tab hi uski zindagi ka sab se bada sahara uske haath se nikal gaya.
umar kuch din baad ghr chor kr chala gaya...wohi umar jissne kbhi rubab ka har haal mein saath dene ka ehad liya tha...aur kbhi rubab ki muskaam ka raaz tha aaj wohh hi uske aitbaar ka qatil bhi tha. ek aisa qatil jisne qatal kiya toh tha magar qatil kehlaya nhin ja skta tha .
rubab k waldeen ki maut kch arsa pehle hogyi thi aur shaadi k baad us k khandan walon ne bhi us se qata-e-ta'aluqi kr li thi. lehaza woh bilkul akeli hogyi thi...woh watan jana bhi chahti thi magr jaa bhi nhin skti thi...
aaj bhi woh usi dehleez pe bethy umar ka intezaar hi toh kr rhi thi... aur saath saath burburate hue yeh tehreer kr rhi thi
kiya tum bhi?
shaam ki dehleez pe
aas ka deep chalaty ho??
aur
kisi awara patte ki ahat pr
darwaze ki taraf bhaagy jaty ho??
kiya tum bhi?
dard chupane ki koshish krty krty
aksar thak se jaty ho?
aur bila wajah muskurate ho?
kiya tum bhi????
neend se pehle palkon pr
dhaeron khwab sajaty ho?
ya phir bister pr laet kr
roty roty so jaty ho?
kiya tum bhi.....????!!!
khair ba-wqt harkat krne se rubab ki beemari mein wqt k saath saath sudhar hota chala gya...
aaj aamna ki aathween (8th) salgirah thi...aur usi silsile mein khareedari k waste rubab bazaar gyi thi jahan usy umar dikha...uska umar...jispe woh kbhi apna haq jatati thi...apni man-mani chalati thi . aaj woh kisi aur k saath tha... rubab smjh gyi k usne dusri shadi kr li hy..us din uske samne mtlbi duniya k garz aur fitrat AAINA hogyi.
woh sb smjh gyi....use apna kal ab drawna khwab sa lagne laga.... jo uske dil-o-dimagh mein ghr kr chuka tha..
magr woh ab usy bhoolna chahti thi...woh jhoothi umeedon ki zanjeer todna chahti thi...magar..!
samait kr mjhy apni dehleez ka pthar krde
ya khaak bna kr dar-badar kr de
usse bichar kr bade qurb mein hun main
usy kaho meri azmayish ko mukhtasir krde
us din k baad uski ragon mein khoon k saath nafrat bhi ghulne lgi.. usy is matlabi duniya se chir si hogyi...
aur phir ek din uski bardasht krne ki quwwat dam tod gyi aur wwoh apni azeez-ul-jaan amna ko usi duniya k hawale kr k chod gyi jis pe use ratti bhar bbhi aetbaar na tha...! uski rooh bhi usi khamoshi se parwaz kr gyi kitni khamoshi se subah ka sooraj shaam ko doob jata hy...!
[DOUBLEPOST=1341927468][/DOUBLEPOST]hoorain Wasif Safi S_ChiragH[DOUBLEPOST=1341927488][/DOUBLEPOST]star24 Aayat[DOUBLEPOST=1341927757][/DOUBLEPOST]Nelli Atif-adi
Asma24
Zee Leo
Sara Cilli Milli
Dreamy Boy
wah ji buhat khoob .. keep it up :)
 
  • Like
Reactions: hoorain and Rubi

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513

waowww rubi sis kya likha hy aap ne zabardast dear all the best:)
 
  • Like
Reactions: Rubi

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hoorain sis yeh Rubi ki tehreer pe jo hum ne comments kiye hain woh us thread me move kar den:)
comments kaise move ho sakte hain bhae :s
copy paste kar sakte hain aap,,move sirf thread hota hay :p[DOUBLEPOST=1341991798][/DOUBLEPOST]Nelli
Wasif Safi bhaya
@S-chiragh bro
Asma24
@Hans Mukh bro
Zee Leo bro
~Unknown~ bro
Bela
Detective g
saad khan bro
aap sab ki kahani kidar hay??/ {(popcorn)}[DOUBLEPOST=1341991872][/DOUBLEPOST]Fahad_ bro Sparkofighter
~Bahaar~
aap teeno bhi jaldi se share karain!
 
Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
comments kaise move ho sakte hain bhae :s
copy paste kar sakte hain aap,,move sirf thread hota hay :p
acha .nhi ho sakte..wese hona chahiye yeh option b..
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
baat karti hun DOn bro se :p
phir saara din members staff walon se posts hi diahr udhar karwate rhain ;))
 
  • Like
Reactions: Rubi

Rubi

๋• ˆ⌣ˆ ● ĴнαLLi ● ˆ⌣ˆ •๋
Hot Shot
Aug 17, 2010
47,979
14,096
913
WoℵdeℜLaℵd ツ
mhy kiya pta tha...
zeest sis ne kaha toh main ne thread lga diya.. mjhy laga zruri tha...
ab comments hi latak gyin meri beech mein{}{4rt5
 
zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
ASLAMO ALAIKUM.....
kaisey hai sab .....mujhey ye kaam thora mushkil lg rha hai pr mai koshish krti hon.....is image ko daikhtey huey aik akaili khatoon ka khyal ata hai sab n MASHA ALLAH bohot hi achi trha is image pr kahani likhi mai jo bayan krna chahti hon wo shayed her aurrat ka khyal ho kyon k kabhi ye bat merey zehan mai bhi a jati hai tou start krtey hai ........

''AURRAT KA ASLI GHAR''
ALLAH ka shuker aur ahsaan hai k us n aurrat ko bohot sey nayyab rishton sey nwaza hai wo baiti,bahan,bivi,bahu aur maa bn kr apney rishton ko nibhati hai.....afsoos hai un logon pr jo baiti ko bojh samjhtey hai aur apney baiton ko baitiyon ki nisbat zyada pyar aur khyal krtey hai.....aj mai jo khanai byan krney ja rhi hon ye aik aisi larki ki kahani hai jis n apni zindagi ka sara safer tai kr liya pr usko aj tak apney asli ghar ki talash hai......
zara aik aisi larki hai jo aik middle class family sey taluq rakhti hai.jab us n hosh sanbhali tou us n mehsoos krna shuru kia k usk bhaiyon ko us sey zyada twajah milti hai maa baap sey khana khatey waqt bhai sab sey pehley laitey khana aur akhir mai zara ko khana milta bhaiyon ki her farmaish pori ki jati aur zara ko her bat pr dant dia jata.kabhi fashionable kaprey pahananey ko dil krta ya aur koi khwahish hoti tou usk papa aur bhaiyon ka ye jwab hota jab tum apney ghar jao gi tou jo marzi krna ye humara ghar hai yahan tumko humari marzi sey rehna ho ga....apni tamam khwahishat dil mai dafan kr k zara apney ghar k sapney sajaney lgi k chalo jab meri shadi ho gi mai apney ghar ja kr apni khwahishat pori kr lon gi........wo din bhi a pohncha zara ki shadi ho gai pr pehli hi raat zara k shoher n usko bol dia jo kam ho ga humari marzi sey ho ga subah jaldi uthna merey maa baap aur bahan bhaiyon ki khidmat krna ......aur ye tumharey baap ka ghar nhi hai k jo dil mai aye kro.....zara ko her bat pr ye sunaney ko milta k ye tumharey baap ka ghar nhi mera ghar hai zara ki umeedon pr pani phir gya kuch saal baad ALLAH n zara ko aik aur rishtey sey nwaza aik azeem rishta maa ka us k han aik chand sa baita paida hua zara n n socha chalo mera baita hai ye hamesha mera sath dey ga waqt guzerta gya aur uska baita bara ho gya aur shadi ki umer ko pohanch gya zara n barey armanon sey baitey ki shadi ki aur apney baitey k sath rehney lgi k aik din uski bahu aur baitey n zara ko kehna shuru kr dia k ye humara ghar hai yahan jo ho ga humari marzi sey ho ga .......sab ki batain bardasht krti rhi laikin uski aik akhri umeed thi uska baita pr us sey bhi usko yehi sunaney ko mila zara n apney ghar k sapney bachpan sey hi sajaney shuru kiye they itney azeem rishtey nibhaye bus aik hi khwahish thi k uska apna ghar ho jahan wo apni marzi ki zindagi guzarey pr sab sey yehi suna k ye tumhara ghar nhi hai....pr abhi bhi us ko apney asli ghar ki talash hai ....uska baita aur bahu akailey sair krney chaley jatey aur zara bechari jo bohot burhi ho gai thi ghar k sab kaam khatam kr k ghar key sehan mai baith jati aur apney asli ghar ki talash shuru krti ab usko aik hi umeed hai k shayed qaber hi uska asli ghar ho ga,,,,,,shayed marney k baad usko uska asli ghar mil jaey........
ya shayed aurrat ka asli ghar duniya mai koi nhi.........

hmmmm mai bohot mukhtasir byan krney ki koshish ki hai tak apko boriat na ho......

hoorain

Nelli

S_ChiragH

Hans_Mukh

eXcalibuR

Sis

Rubi

~Zeest~

*SHOAIB*

zara aik aisi larki hai jo aik middle class family sey taluq rakhti hai.jab us n hosh sanbhali tou us n mehsoos krna shuru kia k usk bhaiyon ko us sey zyada twajah milti hai maa baap sey khana khatey waqt bhai sab sey pehley laitey khana aur akhir mai zara ko khana milta bhaiyon ki her farmaish pori ki jati aur zara ko her bat pr dant dia jata.kabhi fashionable kaprey pahananey ko dil krta ya aur koi khwahish hoti tou usk papa aur bhaiyon ka ye jwab hota jab tum apney ghar jao gi tou jo marzi krna ye humara ghar hai yahan tumko humari marzi sey rehna ho ga....apni tamam khwahishat dil mai dafan kr k zara apney ghar k sapney sajaney lgi k chalo jab meri shadi ho gi mai apney ghar ja kr apni khwahishat pori kr lon gi........wo din bhi a pohncha zara ki shadi ho gai pr pehli hi raat zara k shoher n usko bol dia jo kam ho ga humari marzi sey ho ga subah jaldi uthna merey maa baap aur bahan bhaiyon ki khidmat krna ......aur ye tumharey baap ka ghar nhi hai k jo dil mai aye kro.....zara ko her bat pr ye sunaney ko milta k ye tumharey baap ka ghar nhi mera ghar hai zara ki umeedon pr pani phir gya kuch saal baad ALLAH n zara ko aik aur rishtey sey nwaza aik azeem rishta maa ka us k han aik chand sa baita paida hua zara n n socha chalo mera baita hai ye hamesha mera sath dey ga waqt guzerta gya aur uska baita bara ho gya aur shadi ki umer ko pohanch gya zara n barey armanon sey baitey ki shadi ki aur apney baitey k sath rehney lgi k aik din uski bahu aur baitey n zara ko kehna shuru kr dia k ye humara ghar hai yahan jo ho ga humari marzi sey ho ga .......sab ki batain bardasht krti rhi laikin uski aik akhri umeed thi uska baita pr us sey bhi usko yehi sunaney ko mila zara n apney ghar k sapney bachpan sey hi sajaney shuru kiye they itney azeem rishtey nibhaye bus aik hi khwahish thi k uska apna ghar ho jahan wo apni marzi ki zindagi guzarey pr sab sey yehi suna k ye tumhara ghar nhi hai....pr abhi bhi us ko apney asli ghar ki talash hai ....uska baita aur bahu akailey sair krney chaley jatey aur zara bechari jo bohot burhi ho gai thi ghar k sab kaam khatam kr k ghar sehan mai baith jati aur apney asli ghar ki talash shuru krti ab usko aik hi umeed hai k shayed qaber hi uska asli ghar ho ga,,,,,,shayed marney k baad usko uska asli ghar mil jaey........
ya shayed aurrat ka asli ghar duniya mai koi nhi.........

hmmmm mai bohot mukhtasir byan krney ki koshish ki hai tak apko boriat na ho......

hoorain

Nelli

S_ChiragH

Hans_Mukh

eXcalibuR

Sis

Rubi

~Zeest~

*SHOAIB*

Zee Leo
wow....
bahut acha likha hy
aur concept bhi acha hy :-bd
 
  • Like
Reactions: Detective

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ASLAMO ALAIKUM.....
kaisey hai sab .....mujhey ye kaam thora mushkil lg rha hai pr mai koshish krti hon.....is image ko daikhtey huey aik akaili khatoon ka khyal ata hai sab n MASHA ALLAH bohot hi achi trha is image pr kahani likhi mai jo bayan krna chahti hon wo shayed her aurrat ka khyal ho kyon k kabhi ye bat merey zehan mai bhi a jati hai tou start krtey hai ........

''AURRAT KA ASLI GHAR''
ALLAH ka shuker aur ahsaan hai k us n aurrat ko bohot sey nayyab rishton sey nwaza hai wo baiti,bahan,bivi,bahu aur maa bn kr apney rishton ko nibhati hai.....afsoos hai un logon pr jo baiti ko bojh samjhtey hai aur apney baiton ko baitiyon ki nisbat zyada pyar aur khyal krtey hai.....aj mai jo khanai byan krney ja rhi hon ye aik aisi larki ki kahani hai jis n apni zindagi ka sara safer tai kr liya pr usko aj tak apney asli ghar ki talash hai......
zara aik aisi larki hai jo aik middle class family sey taluq rakhti hai.jab us n hosh sanbhali tou us n mehsoos krna shuru kia k usk bhaiyon ko us sey zyada twajah milti hai maa baap sey khana khatey waqt bhai sab sey pehley laitey khana aur akhir mai zara ko khana milta bhaiyon ki her farmaish pori ki jati aur zara ko her bat pr dant dia jata.kabhi fashionable kaprey pahananey ko dil krta ya aur koi khwahish hoti tou usk papa aur bhaiyon ka ye jwab hota jab tum apney ghar jao gi tou jo marzi krna ye humara ghar hai yahan tumko humari marzi sey rehna ho ga....apni tamam khwahishat dil mai dafan kr k zara apney ghar k sapney sajaney lgi k chalo jab meri shadi ho gi mai apney ghar ja kr apni khwahishat pori kr lon gi........wo din bhi a pohncha zara ki shadi ho gai pr pehli hi raat zara k shoher n usko bol dia jo kam ho ga humari marzi sey ho ga subah jaldi uthna merey maa baap aur bahan bhaiyon ki khidmat krna ......aur ye tumharey baap ka ghar nhi hai k jo dil mai aye kro.....zara ko her bat pr ye sunaney ko milta k ye tumharey baap ka ghar nhi mera ghar hai zara ki umeedon pr pani phir gya kuch saal baad ALLAH n zara ko aik aur rishtey sey nwaza aik azeem rishta maa ka us k han aik chand sa baita paida hua zara n n socha chalo mera baita hai ye hamesha mera sath dey ga waqt guzerta gya aur uska baita bara ho gya aur shadi ki umer ko pohanch gya zara n barey armanon sey baitey ki shadi ki aur apney baitey k sath rehney lgi k aik din uski bahu aur baitey n zara ko kehna shuru kr dia k ye humara ghar hai yahan jo ho ga humari marzi sey ho ga .......sab ki batain bardasht krti rhi laikin uski aik akhri umeed thi uska baita pr us sey bhi usko yehi sunaney ko mila zara n apney ghar k sapney bachpan sey hi sajaney shuru kiye they itney azeem rishtey nibhaye bus aik hi khwahish thi k uska apna ghar ho jahan wo apni marzi ki zindagi guzarey pr sab sey yehi suna k ye tumhara ghar nhi hai....pr abhi bhi us ko apney asli ghar ki talash hai ....uska baita aur bahu akailey sair krney chaley jatey aur zara bechari jo bohot burhi ho gai thi ghar k sab kaam khatam kr k ghar key sehan mai baith jati aur apney asli ghar ki talash shuru krti ab usko aik hi umeed hai k shayed qaber hi uska asli ghar ho ga,,,,,,shayed marney k baad usko uska asli ghar mil jaey........
ya shayed aurrat ka asli ghar duniya mai koi nhi.........

hmmmm mai bohot mukhtasir byan krney ki koshish ki hai tak apko boriat na ho......

hoorain

Nelli

S_ChiragH

Hans_Mukh

eXcalibuR

Sis

Rubi

~Zeest~

*SHOAIB*

Zee Leo
waalaikum assalam

awwww bohat achi story likhi aap ne,,really heart touching aur reality se bohat qareeb!
najaane kitni aurton k dimagh may ye hoga aur wo apne ghar ki talash may kis kis din ki umeed lgaye hoti hain!
agar positively daikha aaye n Musawat ka muamla ho rishton may to aik aurat se ziada lucky koi nhi hay k jis ka aik nhi 3 ghar hain, father ka,,,husband ka n baite ka...magar jab rishton may musawat ki bjaye aisi haq talfiyan ho to waqe hi uska koi gahr nhi!
nicely written by u:-bd keep it up! :)
 
  • Like
Reactions: Detective

zehar

VIP
Apr 29, 2012
26,600
16,301
1,313
waalaikum assalam

awwww bohat achi story likhi aap ne,,really heart touching aur reality se bohat qareeb!
najaane kitni aurton k dimagh may ye hoga aur wo apne ghar ki talash may kis kis din ki umeed lgaye hoti hain!
agar positively daikha aaye n Musawat ka muamla ho rishton may to aik aurat se ziada lucky koi nhi hay k jis ka aik nhi 3 ghar hain, father ka,,,husband ka n baite ka...magar jab rishton may musawat ki bjaye aisi haq talfiyan ho to waqe hi uska koi gahr nhi!
nicely written by u:-bd keep it up! :)

aaaaaaaa g thank u...sis ye tou merey ghar ki bhi kuch kahani thi like ammi papa kehtey apney ghar ja kr jo kuch marzi krna aur shoher k ghar bhi yehi k ye mera ghar hai meri marzi chaley gi....shayed abhi 3srey ghar ka koi tajurba nhi.....pr logon ko mai daikha bohot si aurratain hoti jo bohot burhi hoti aur unk baitey apni maa ko bahu k hawaley kr daitey wo chahti tou khana deti pr unki maa kucxh bol nhi sakti apney baitey ko shikayat bhi nhi lga sakti kyon k un k baitey ye keh daitey k ye uska ghar hai jo marzi wo krey...:(
 
  • Like
Reactions: Rubi
Top