Ajnabi Rehna Par Kissi Ka Intezar Mat Karna,

  • Work-from-home

fareena_01

Super Star
Mar 11, 2013
7,011
2,255
263
Karachi
bat samjh nhi ayi
''ksi k pyar k liye khud ko beqarar mat karna''

or

''dikhawe k liye ksi se pyar mat karna''
:confused: :s :S
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha

ye kon phir se mujhy raston main chor gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha

ye teer dil main magar be sabab nahi utra
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha

men raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha

wo qais ab jisay majnoo pokarty hen log
meri terha koi deewana ghar se nikla tha
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon,
Kya yeh kam hai ke us se mansoob hoon..
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Aye dil tu unhe dekh kar kuch aese tarrapna,
Aa jaye hansi un ko jo bethe hain khafaa se..
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Zindgi! tujhko bhulaya hai bahut din hamne
Waqt khwabon main ganvaaya hai bahut din humne.

Ab ye neki bhi hamain jurm nazer aati hai
Sabke aebon ko chupaya bahut din hamne.

Tum bhi is dil ko dukha lo to koi baat nahin
Apna dil aap dukhaya hai bahut din humne.

Bahut din terqe-tamanna pe lahoo roya hai
Ishq ka kerz chukaya hai bahut din humne.

Kya pata ho bhi sake iski talafi ki nahin
Shayari tujhko ganvaaya hai bahut din humne.
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Joo aadhoori reh gaayi thi vo kaahani sochna
Beth ker tanha faqat baatein purani sochna

Jab kisi sahil pe aajayen meri yaadain tumhain
Kyun jazeeron ki taraf rehta hai paani sochna

Tum agar bichre ho, Khush ho to chlo yun hi sahi
Beth ker tanha faqat shaamein purani sochna

Jab kabhi likhna kahani zeest ke mauzu pe tum
Kyun badal jaate hain lafzon ke maa'yne sochna.
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Azaab-E-Deed Mein Ankhen Lahu Lahu Kar K,

Main Sharamsaar Hua Teri Justaju Kar K,

Suna Hai Shehr Mein Zakhmi Dilon Ka Maila Hai,

Chalen Ge Hum Bhi Mgr Pairahan Rafu Kar K,

Musafat-E-Shab-E-Hijraan K Bad Bhaid Khula,

Hawa Dukhi Hai Charaghon Ki Aabru Kar K,

Ye Kis Ne Hum Se Lahu Ka Khiraaj Phir Manga,

Abhi To Soye The Maqtal Ko Surkhuru Kar K,

Ujaar Rut Ko Gulabi Banaye Rakhti Hai,

Hamari Aankh Teri Deed Se Wazu Kar Kay..
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima
Top