Ajnabi Rehna Par Kissi Ka Intezar Mat Karna,

  • Work-from-home

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Chiraagh-e-Shab Ko Jese Andhiyan Achi Nahin Lagti

Kuch Aise Hi Hamen Khush Fehmiyan Achi nahin Lagti

Jinhen Soney K Pinjrey Mein Ghiza Mil Jaye Chandi Ki

Unhen Phir Umr Bhar Azadiyan Achi Nahin Lagti

Wo Jin K Dil Mein Dard-o-Gham Ne Dairey Daal Rakhey Hon

Unhen Phoolon Pe Bethi Titliyan Achi Nahin Lagti

Mera Dil Chahta Hai K Unhein Aaina Dikha laon

Wo Jinko Dosron Ki Khobiyan Achi Nahin Lagti
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
milo ke aaj koi baat rubaroo karlein

yeh kio hain dooriyaan kuch is pe guftugoo karlein

karein ge phir hi ibadat tumahrei chahrey ki

kei pahlei ankhon ko ashkon sei baawuzu karlein

zara khayal na aaye humei bicharney ka

ke dil me paida koi aisy aarzoo karlein

Taweel fasley simat bhi saktey hain

bus ek baar jo thori si justujoo karlein
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Kahin Sehra Kahin Sookhy Shajar Achy Nahi Lagty
Muje Ab Khwabzaaron K Safar Achy Nahi Lagty

Jawabi Khat Me Yun Usne Mery Bary Me Likha Tha
Bura B Keh Nahi Sakty Mgr Achy Nahi Lagty

Nahi Masroof Main Itna K Ghar Ka Rasta Bholon
Koi Jab Muntazir Na Ho To Ghar Achy Nahi Lagty

Smandr Tairti Lashon Se Ye Kehta Raha Shab Bhar
Mujhy B Doobny Walo, Bhanwar Achy Nahi Lgty

Nahi Aisa K Ab Parwaz Ki Taqat Nahi Baqi
Meri Ummeed K Panchi Ko Par Achy Nahi Lgty
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
ajeeb lo`g haiN kyaa khuub munsifii ki hai
hamaare qatl ko kehte haiN khud-kushii ki hai

ye baaNkpan thaa hamaaraa ke zulm per hamne
bajaaye naalaa-o-faryaad shayari ki hai

zaraa se paaNv bhigoye thay jaa ke daryaa meN
Guroor ye hai ke hamne shanaawarii ki hai

isii lahuu meN tumhaara safeenaa Duubegaa
ye qatl-e-aam nahiiN, tumne khud-kushii ki hai

hamaari qadr karo chauNdaviiN ke chaaNd haiN ham
Khud apne DaaG dikhaane ko raushnii ki hai

udaasiyoN ko Hafeez aap apne ghar rakhkheN
ke anjuman ko zaruurat shaguftagii ki hai
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
HAr Simt GHam-E-HijHr k tOFaAn HEin
Mat PocH k Hum KitnE PresHaAn HEin

HAr cHeHRa NazAr atta Hai TaswEer Ki sOorat
Hum sHeHr k LoGoun sE BHi AnJan HEin

Jis sHeHr-E-MoHaBaT nE HumEin Lout LiyA Hai
UsS sHeHr sE ABH kOocH k ImkAan HEin

KasHti ABHi UmEeD Ki DoOBHi Tu NaHi Hai
pHir KyOun Teri AankHoun Mein YeH ToFaAn HEin

kAr En kA ADaBH, RakH InHEin SeEne sE LaGa kAr
YeH DarD YeH TanHAiyAan MeHmAan HEin
 
  • Like
Reactions: Haya_Fatima

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Kya Kya Batain Woh apni Tehreer main likhta hai
Aik naii Taqdeer meri Taqdeer main likhta hai

Woh aisi hamdard ke apnay Pyaar ke saray Alfaaz
Meray Haathoon ki aik aik lakeer main likhta hai

Koi Raaz chupana shayaad pasand nahin usay
Woh apna har khuwab khuli Tabeer main likhta hai

Main us ka aik maan-chaha Qaidi hoon isi liye
Naam mera woh Zulfoon ki Zanjeer main likhta hai

Bool uthay aik aik Ta'assur us ke Chehray se
Sari kahani woh apni Tasweer main likhta hai

Khoob Chehekti hai woh Khat ke pehlay his'say main
Laikin Dil ki Sacchi baat akhir main likhta hai

Jis Khoobi se pehchana jaii koi shukhs EHSAN
Qudrat woh Khoobi us ke KhooN-e-Khameer main likhta hai
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Hath Khaali hain Tere Shehr Se Jatay Jatay,
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jatay,

Mujhe Se Pehle Bi Musafir Kayi Guzray Hon Gy,
Kam Se Kam Raah K Pathar To Hatate Jatay,

Mujhe Rone Ka Bi Saliqa Nahi Aata Shayed,
Log Hanstay Hain Mujhe Dekh K Aatay Jatay,

Main Bi Majboor Tha Main Ne Usey Roka Bi Nahi,
Wo Dekhta Raha Mur K Mujhe Jatay Jatay,,,,
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
rasm e wafa nibhana tau ghairat ki baat hai
wo mujhko bhool jayain, ye hairat ki baat hai

sab mujhko chahte hain ye shohrat ki baat hai
mai usko chahti hoo'n ye qismat ki baat hai

izhaar e ishq karr hi diya mujh se aap ne
ye bhi janab aap ki himmat ki baat hai

taareef karr rahe hain sabhi aaj kal meri
ismey koi zaroor siasat ki baat hai

rakhta hai yunhee yaad kisi ko koi kaha'n
ye to, bus apni apni zaroorat ki baat hai

Wo jiss ko chahey Apne Karam se nawaz de
ye tau Khuda ki bandey se nisbat ki baat hai

sauda kisi se mainey ana ka nahee'n kiya
WASIM ye merey wastey izzat ki baat hai
----------------------------------------
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Guftagoo achhi lagi zauke nazer achha laga
muddaton ke baad koi humsafar achha laga

dil ka dukh jana to dil ka mas'ala hai per hamein
uska hans dena hamare haal per achha laga

is terha ki be-saro- samaniyon ke bawajood
aaj woh aaya to mujhko apna ghar achha laga

kya bura tha ger para rehta teri dehleez per
tu hi batla kya tujhe woh der -ba-der achha laga
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Teri hijraton ka malal tha mager ab nahi
mujhay sirf tera khayal tha mager ab nahi

teri bay misaal mohabbaton k nisab main
to zamanay bhar main misal tha mager ab nahi

to nay dard ata kia wohi shakhs
teri qurbatonmain nidhal tha mager ab nahi

main teri talash main rea rea bikhar gaya
woh junoon-e-shoq-e-wisaal tha mager ab nahi

tere der pay aakhri baar aa ker palat gaya
meri zindagi ka sawal tha mager ab nahi
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Sukuun-e-jaaN ke liye ab maiN duaa kaise karuN
Dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karuN


Aksar lauTaa huun manzil se yahi soch ke maiN
Ab muqammal ye safar tere binaa kaise karuN


Mere she'roN mein yeh asar kahaaN tha pehle
Karz maiN teri jafaaon ka adaa kaise karuN


Zindagi bhar ki wafaaoN ka silaa hai yaaro
Dil-e-barbaad ke zaKhmoN ki davaa kaise karuN


Thi koi mere hi haaThon ki lakeeroN meiN kamii
Apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karuN


Meri nas-nas meiN basaa hai jo lahuu ban ke Dost
Uski yaadoN se kinaara maiN bhalaa kaise karuN


Ab munaasib hai yahi usko bhulaa duuN
HaaN,magar phuul ko khushbuu se judaa kaise karuN
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon,
Kya yeh kam hai ke us se mansoob hoon..
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir jai to gire sar to bach gaya
kuch behison ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

'WASIM' meri saada dili ne kabhi mujhe
Aena doosto ko dikhane nahi diya.
 

Vasim

Active Member
Feb 20, 2013
325
105
343
ask me...............
Dil ko dhoke ma daal ke nikle
Hum bhi yaaro kamaal ke nikle

Kya khabar thi wohi bhula de ga
Jis ki yaadein sambhaal ke nikle

Us ke armaan sab ke sab aakhir
Mujh ko dil se nikaal ke nikle

Fikr daulat ki kar raha tha jahan
Hum mohabbat sambhaal ke nikle
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Usey apna bananey ki zid mein,
Apne bhi paraaye kiye hum ne..
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Usey apna bananey ki zid mein,
Apne bhi paraaye kiye hum ne..
 
Top